Ab aapko 3 whatsapp account chalane ke liye aapko 3 smartphone istemaal karna nahi पड़ेगा. Kyunki is post me bahut hi saral tarike se bataya gaya hai ki aap 1 mobile me 3 whatsapp kaise chala sakte hai.
Mein pahle hi bata chuka hu ki whatsapp par Stylish Text Message kaise send kiya jata hai. Jaisa ki aapko maaloom hoga ki kai log apne ghar ke personal mobile number aur office ke number ko alag alag rakhna chahte hai. Par ek whatsapp ki wajah se aisa nahi ho pata.
Aap chinta na kare. Agar aap ye chahte hai ki aapke ek mobile me 3 whatsapp account ho, to aap aisa bahut hi asani se kar sakte hai. Meine apni pichhale post me bataya tha ki Ek Phone Me 2 Whatsapp kaise chalaya jata hai.
- Whatsapp Profile Photo Bina Crop Kiye Profile Image Me Kaise Lagaye.
- Voter I’d Card Me Name Address Change Kaise Kare.
1 Mobile Me 3 Whatsapp Chalane Ki Jarurat
Jaisa ki mein upar me bata chuka hu ki kai log apne personal aur office ya wo jahan job ya work karte hai, un sab jagah ka mobile number wo alag alag rakhana chahte hai. Par wo ek whatsapp account ki wajah se wo aisa nahi kar paate.
Mobile me ek whatsapp install hone ki wajah se kai baar unka personal mobile number whatsapp par office ke logo ko message send karne par unka mobile number office ke logo ke paas chala jata hai. Aur unhe aisa hona bilkul pasand nahi hota.
Par agar aapke mobile me 1 nahi 2 nahi 3 multiple whatsapp account ho, to aap aisa bahut hi aasani se kar sakte hai. Aisa kar ke aap bahut hi aasani se sabhi mobile number ko aap alag alag rakh sakte hai.
family aur friends ke liye personal mobile se whatsapp. Office ke logo ke liye office ke number se whatsapp. Aur ek aur koi number se whatsapp account hone se aapko koi problem nahi hoga. Niche meine step by step bataya hai ki aap aisa kaise kar sakte hai.
1 Mobile Me 3 Whatsapp Kaise Install Kare.
Aisa karne ke liye aapko third party app ki jarurat hogi. Bataya gaya app google ke play store par bilkul free me uplabdh hai. Aap chahe to Play Store se ise download kar ke apne mobile me 3 separate account istemaal kar sakte hai.
Is app ki madad se aap Whatsapp, Paytm, Messenger, Imo, linkedIn aur bhi kai apps ka clone app bana kar 3 separate account istemaal kar sakte hai. Niche meine app ka link aur 1 mobile me multiple whatsapp install karne ka tarika step by step bataya hai aap use follow kar sakte hai.
1 : Sabse pahle google ke play store se NoxApp+ – Multiple Account Clone App ko apne phone me download kar ke install kar le.
2 : Ab aap app ko Open kare. Aur whatsapp app ko Select kar ke Try Now ke option par click kare.
Ab aapka ek aur whatsapp install ho chuka hai. Aap Whatsapp ke icon par click kar ke New Whatsapp Account create kar sakte hai. Agar aap ek aur yaani ki apne phone me 3 whatsapp chahte hai to niche bataye gaye step follow kare.
1 : Plus ke button par click kare.
2 : Aur app list me se Whatsapp ko select kare. Aur Create Multi Account ke option par click kare.
5 : Aapka 3 whatsapp taiyaar ho chuka hai. 1st original aur 2 clone. Aap whatsapp icon par click kare, aur new mobile number enter kar ke Account bana le.
- Facebook Group Kaise Banaye Hindi Me Jankari.
- Google Chrome Browser Ke Liye Top 10 Useful Extension.
Aasha karta hu aapko mera ye post 1 mobile me 3 whatsapp app kaise install kare post aapko pasand aaya hoga. Aap whatsapp se jude dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai. Whatsapp.
Be the first to comment