Hello dosto aaj ka ye post un logo ke liye hai jo apna google adsense account delete karna chahte hai. Agar aapko nahi pata ki ise delete kaise karte hai, to aap chinta na kare. Aap bilkul sahi post website par hai. Main pahle hi bata chuka hun ki blog/website ke liye Adsense Account kaise banate hai.
Google adsense apne publisher ko apne blog, website aur youtube par ad laga kar online earning karne ki suvidha deti hai. Bahut saare log iske ads apne blog website aur apne youtube channel par laga kar hajaron lakhon aur kuch log to cororon rupaye adsense se income kar rahe hai.
To kuch aise bhi hai jo adsense account ke liye apply to karte hai, par unka account fully approve nahi hota. Or kuch ka to adsense account approve to ho jata hai, par wo paise earn nahi kar paate. Aur wo pareshan hokar apna adsense account hamesha ke liye delete karna chahte hai. Agar aap bhi apna adsense account hamesha ke liye delete karna chahte hai ? to is post ko last tak dekhe.
Google adsense online earning karne ka ek acha vikalp hai. Bahut saare log isse achhe khase rupaye income kar rahe hai. Adsense account ke liye aapke paas blog, website ya koi YouTube channel ka hona jaruri hota hai. Tab jakar aap iske liye apply kar sakte hai.
Apply karna to bahut hi aasaan hai. Par adsense account ko approve karwa pana bahut hi muskil kaam hai. Iske liye kathin mehnat karni पड़ती hai. Tab jakar adsense account approve ho pata hai. Halanki aaj kal bahut hi aasaani se adsense account approve ho rahe hai.
Adsense Account Ko Delete Kyun Kare?
- Kai aise blogger aur youtuber hai, jo adsense account ke liye apply karte hai, aur unka application first review me approve bhi ho jaata hai. Par final review me unka application disapprove ho jata hai. Karan hota hai ad placement ki thik se jankari ka na hona. Aur blog/website par aise jagah par ad laga dete hai, jise adsense ki team allow nahi karti. Aur last me unka application disapprove ho jaata hai.
- Adsense ek person ko ek se adhik adsense account create yaani ki banane ya yun kahen ki rakhne ki ijajat nahi deta. Aap chahe to ek hi adsense account se jitne chahe utne blog, website par ad laga sakte hai. Par kuch log dusre email address se phir se ek naye adsense account ke liye apply kar dete hai. Aise me information match with other account ko samasaya aati hai. Aur unka new application bhi phir se disapprove ho jaata hai. Aise me disapprove adsense account delete karna jaruri ho jata hai.
- Agar aap ek naye adsense account ke liye Apply karna chahte hai aur agar aapke paas pahle se ek adsense account hai. To aise me us purane account ko delete karna jaruri ho jata hai.
Adsense Account Delete Karne Se Pahle Kya Kare?
Yahan par aapko batata chalu ki adsense account delete karne se pahle aapne jahan jahan par adsense ke ads code laga rakhe hai un sabhi jagah sse use delete ( remove ) kar de.
Aur agar aapne adsense account me kuch earning kiya hai to us rupaye ko receive kar le. Uske baad hi aage ki step ko follow kare.
Adsense Account Delete Karne Ka Tarika Hindi Me
To doston is post ko aur jyada lamba na karte huye aayiye dekhe ki adsense account ko delete kaise kiya jata hai. Ise delete karna bahut hi aasaan hai. Aap mere dwara bataye gaye step ko follow kare.
NOTE : Aage ki step follow karne se pahle aapko bata dun ki aap aage jo bhi karenge aap apni marzi se karenge. Aur isme indiamehelp.com ki koi bhi jimedaari nahi hogi.
Aapko batata chalu ki ho sakta hai ki ek baar account delete kar dene ke baad aap phir se use reopen aur restore na kar paye. Aur agar aapke adsense account me rupaye hai to use receive kar len. So aage ki step follow karne se pahle achhe se soch le.
1 : Sabse pahle aap Adsense.com par jaye. Aur apne account me Log In kare.
2 : Log in hone ke baad ab aap Settings >>>> Account Information >>>> aur phir account status ke right side me diye gaye Cancel Account ke option par click kare.
3 : Ab aap I understand that I will not be paid any outstanding earnings because I do not meet the final payment requirements ke aage box ko Tick kare.
Aap jaise hi box ko tick karenge aap ko kuch aur information yahan par dene hai jo niche bataya gaya hai.
4 : Isme aapko apna account cancel karne ka kaaran chose karna hai. Reason for cancelling me total 5 option diye gaye hai.
- Website has closed down.
- Insufficient earnings.
- Poor ad filtering.
- Poor ad targeting.
- Other.
Upar diya gaya ek Reason Chune. Aur aage ki step ko follow kare.
5 : Ab aap I have read and understood the above, including the AdSense terms and conditions ke aage diye gaye box ko Tick kare. Aur niche diye gaye Continue ke option par click kare.
6 : Ab aapke email address par ek Link gaya hoga. Aap apne email address me log in kar ke us email ko open kare. Usme ek link diya gaya hoga. Aap link par click kar ke hamesha ke liye apne adsense account delete kar de.
Ab aapne apna kaam successfully kar liya hai. Ab aapko kuch aur karne ki jarurat nahi hai.
Doston maine bahut hi saral tarike se bataya. Aasha karta hu aapko post pasand aaya hoga. Aur agar aapke mann me isse sambandhit koi sawal ya koi sujhao hai, to niche diye gaye comment box me comment kar ke puch sakte hai.
Aasha karta hun google adsense account delete/disabled kaise kare ki hindi jankari aapko pasand aaya hoga. Agar aapko mera ye post pasand aaya ho, to aap is post ko apne friends aur dusre blogger ke sath ke sath social media aur dusre platform par share kar sakte hai.
adsense account ko safe rakhne ke liye page CTR kitna tak hona jaruri hota hai ?
adsense account ko safe rakhna hai to aap adsense ke term’s and conditions or ads placment ki terms ko follow kare.
Sir maine ek site banaye hai , alljankari.com
Aapse request hai ki ek ber jaroor se samay nikal ker ,ise dekhe aur bataye ki kya mai adsense ke liye kosis karu ya fir Koi kami hai to use bataye
Pse pse sir , waiting for your precious reply
aapka site achha hai 👌….
aap apne blog ke side bar me social media page link add kar sakte hai….
aapko on page seo par dhyan dena hoga…..
blog post me dusre post ke link add kare….
agar aapke blog par daily page view 300+ hai to aap adsense account ke liye apply kar sakte hai….
par mein phir bhi yahi bolunga ki aap abhi apne blog visitors badhaye aur sath me post ki sankhaya bhi phir uske baad adsense account ke liye apply kare to achha hoga….
cansel account likha hua nahi aa raha hai
aapke email par adsense account delete karne ka ek link gaya hoga…. aap uspar click kar ke delete kar sakte hai….
Hello sir..
Maine aap ki lagabhag 50% post padh hai. Aap ka post kafi helpful hai .
Mai bhi ek post likha hu mai bhi chahta hu wo post aak ke jasa ho aur 1st number pe aaye.
Maine bahot try kiya par nahi aa raha 1st number pe.
Plz help me..
Ravindra jee mera post read karne ke liye thank you…..
Post ko search result me 1st position par laane ke liye aapko niche bataye gaye baaton ko follow karna hoga…
Example
Seo friendly post likhe…
Apne blog ka seo kare…
High quality post likhe…
Blog ke liye backlink banaye….
Apne blog post ko social media sites par share kare….
Sir kya main adsense account deleted karne ke Baad dobara doosra account bana sakta hoon?
Mene ek account created kia tha wo kisi problem ki wajah disapprove ho gaya tha. Jab mene problem solve ki aur dobara request ki to wo 20 days se pending me hai aur koi reply nahi mil raha hai. Me kya karoon?
Sir Aapka Blog Blogspot Par Hai Aur Aap Apbe Blog Par Custom Domain Bhi Istemaal Nahi Kar Rahe…. Aap Blog Banane ke 6 Month Baad Adsense Ke Liye Apply Kare. Aisa Mein Isliye Bol Raha Hun Ki Kyunki Jo Log Apne Blog Par default Domain Use Karte Hai Unhe Adsense Ke Liye 6 Month Baad Adsense Ke Liye Apply Karna Chahiye…..
Great site you have here.. It’s hard to find quality writing like yours these days. I truly appreciate people like you! Take care!!|
nice sir great post
Hi sir मै जानना चाहता कि मैंने adsense account के लिए अपने दो email id से गलती से अप्लाई कर दिया और दोनों email id से adsense account ओपन हो गया लेकिन एक भी activate नही हो रहा है मुझे बार बार अप्लाई करने पर एक message आ रहा है और बोला जा रहा कैंसिल one account तो मैंने अपने दोनों account में login करके देखा लेकिन कही पर कैंसिल का आप्शन ही नही है तो मै इस condition में क्या करू please मुझे उचित सलाह दीजिये |
यदि एक भी account activate होता तो कैंसिल का आप्शन रहता यहाँ तो मेरा एक भी account activate नही है.
यह message गूगल के द्वारा आ रहा है |
अप्लाई करने पर
You already have an AdSense account
Thanks for your interest in AdSense. Did you know you already have another AdSense account that you could use?
AdSense only allows one account per person. To get started with AdSense, you can either:
1. Continue using your existing account, associated with raja…@gmail.com. If you can’t access this account, follow the steps in our login troubleshooter.
or
2. Close your other account(s) by following the steps in the Help Center article Cancel your AdSense account, and then try signing in again.
We look forward to seeing your ads up and running soon.
Thanks,
The Google AdSense Team
Sir aap adsense account me log in kare, aur phir Home >>>> Account >>>> Account Information >>>> aur phir Account Status me diye gaye Cancel Account ke option par click kar kere aur phir aage ki step follow kare aur last me aapke email par ek email jayega aap us email me diye gaye link par click kar ke apne account ko hamesha ke liye delete kar de…..
Google ka account delete Karne se AdSense delete hota hai ya nahi
Sir sabse pahle adsense account delete karna chahiye uske baad email address ko delete karna chahiye
hello sir mai apne 3 email id adsence ke apply kr diya tha hame pta nahi tha ki one persion ke liye ek adsence account hi create kr sakte hai .
so plese sir ab mai blog website bhi bna liya jo adsence ke liye redy ho gaya hai lekin jb adsence ka form bharte hai tab hamare email pe yahi mail ata hai you have alredy adsence account
plese help jo 3 adsence account me koi bhi account active nahi hai
so ab ham 3 adsence account ko delete karna chata hu kaise kare kuch pta nahi
plese help
thanque sir :
Sir jaisa ki aap bata rahe hai ki aapne 3 baar adsense account ke liye apply kiya hai aur wo sabhi account active nahi hai isliye aap un sabhi adsense account ko permanente delete kar sakte hai…. sabhi adsense account delete karne ke baad aap aap new adsense account ke liye apply kar sakte hai…. yaad rahe ki new adsense account ke liye apply karne se pahle aap apne blog/website ko adsense ke terms and condition ke anusaar bana le. aur ye sab karne ke baad last me kisi achhe blogger se apne blog/website ko jarur check karwa le…. aur jab wo blogger bole ki aapka blog/website adsense ke liye ready hai phir uske baad aap adsense ke liye apply kar de….. SIR aap adsense account delete karne ke liye yahan click kar sakte hai….. ADSENSE ACCOUNT DELETE KAISE KARE.
Sir आप बहुत अच्छा लिखते हो आपका आर्टिकल पड़ने के बाद तो मजा ही आ जाता है। सर, आपमे जो हुनर है जो हर किशी के पास नही होता
bookmarked!!, I like your site!|
Good information and helpful Thanx For This sharing infomation helpful
sir kya mai apna ek e mail id se blog or youtube chennal creat kar liya hai aor
youtbe par isi email se conect hai. isi email se blog banaya hai usi kya isi email se adsen me jod sakta hun.
Jee Aap kar sakte hai