Adsense publisher jab apne account me 10$ earn kar lete hai. Tab unke adsense account me ek notification dikhai deta hai. Jo Address Pin Code dwara verify karne ke liye hota hai. Your payments are currently on hold because you have not verified your address.
Iska matlab hua ki aapka payment abhi hold par hai. Kyunki aapne apna address verify nahi kiya hai. Adsense account approve hone ke baad publisher ka kaam yahi par khatam nahi ho jata.
Account approve hone aur account me 10$ earn hone ke baad adsense publisher ko apna address verify karne ka ek notification dikhai deta hai, Jo address verify karne ke liye hota hai.
10$ income hone ke baad adsense ki team publisher dwara submit kiye gaye address par ek secret pin code bhejti hai. Us secret code ko adsense account me enter karna hota hai. Tab jakar adsense publisher ka account me address verify ho pata hai.
Aisa wo isliye karte hai ki publisher dwara di gayi jankari Name aur Address sahi hai ya nahi, isi ko check karne ke liye adsense ki team aisa karti ahi.
publisher apna address apne adsense account me jo submit kiya hai wo sahi hai ya nahi, Isi ko check ( verify ) karne ke liye adsense team publisher dwara diye gaye address par ek secret code speed post dwara bhejti hai.
Adsense Account Me Name Address Change/Edit Kaise Kare?
Kai log adsense account me jankari submit karte samay kabhi kabhi galti ya misspelling kar dete hai. Aur apna name ya address me kuch galat jankari de dete hai. Jisse unhe bheja gaya pin unke paas nahi pahunch paata.
Agar aapse bhi aisa galti hua hai, to aap ise thik kar sakte hai. Aur ise thik kar ke dobara phir se pin ke liye apply kar sakte hai. Or agar aapke adsense account me name or address sab kuch sahi hai, to aap is step ko skip kare.
Step 1 :
Sabse pahle aap Payments par click kare. Aur phir Setting me diye gaye Manage Settings par click kare.
Step 2 :
Ab aapko kuch jankari deni hai. Jaise Name, Address, Town, Postel Number aur State name etc. Aap niche bataye gaye aanusar form ko fill kare.
Payment profile ke box me diye gaye Name And Address ke bagal me Pencil ke option par click kare.
Step 3 :
1 Name : Apna name enter kare. Agar yahan par aapka name ki spelling me mistake hai to hi change kare. Nahi to ise aise hi rahne de.
2 Address line 1 : Apne address ka 1st line enter kare. Example – Aapke ghar ka famous sabse near palace/area.
3 : Address line 2 : Ghar ka address enter kare.
4 : Town/City : Apne Sahar/Gaun ka name likhe
5 : Postcode : Apne area ka Pincode enter kare.
6 : State : Aap kis State me rahte hai use select kare.
- Urdu Blog Website Par Google Adsense Use Kar Sakte Hai?.
- Kisi Dusre Website Ka Theme Name Kaise Pata Kare.
Adsense Par Address Pin Verify Submit Kaise Kare
Adsense account me apne address ko pin dwara verify karna bahut hi jaruri hota hai. Kyunki address pin dwara verify hone aur aapke account me 100$ hone ke baad hi adsense aapko payment karega.
Jab tak aap address ko verify nahi karenge, tab tak adsense aapko payment nahi karega. Isliye ise karna jaruri bahut jaruri hota hai. Nahi to aapke dwara earn kiya gaya paise aapko receive nahi hoga.
Address pin verify karna bahut hi aasaan hai. Iske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Agar aapko google adsense ki taraf se bheja gaya pin receive ho gaya hai, to aap mere bataye gaye step ko follow kare.
1 : Sabse pahle Adsense Account me jaye.
2 : Aapke adsense account me sabse upar me your payments are currently on hold because you have not verified your address ka ek notification show ho raha hoga. Aap usme diye gaye Action par click kare.
3 : Enter Your Pin ke box me post ke dwara aaya Pin Code ko enter kare.
4 : Submit Pin ke option par click kar de.
Aap jaise hi post se aaya code enter karenge aapka address successfully verifi ho jayegaa. Aur upar me dikhai de raha red color me notification hat jayega.
Mujhe ummeed hai mere dwara bataye gaye step ko follow kar ke aap apne adsense account me pin code submit kar liya hoga. Aur apna address verify kar liya hoga. Aap adsense se related dusri post read karne ke liye yahan click kar sakte hai – Adsense.
Be the first to comment