Log apne mobile me tarah tarah ke ringtone set kiye hote hai. Koi apna manpasand gaana/tune set kiye hota hai. To koi apna pasand ka bhajan ringtone me lagaye hota hai. Is post me apne name ka ringtone kaise banaye iske bare me bataya gaya hai. Post me name wala ringtone banane ka 2 tarika bataya gaya hai. 1st android app ke jariye, aur 2nd website ke jariye.
Is post me apne name ka ringtone banane wala app ka name bataya gaya hai. Jiski madad se aap apne mobile me hi apne name ka ringtone bana sakte hai. Aur sath me ringtone bana kar apne mobile me ringtone ke taur par set bhi kar sakte hai. Iske liye aapko play store se niche bataye gaye app ( Application ) ko download karna hoga.

Ringtone banane ke liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Aapko bus niche bataya gaya app apne smartphone me download karna hai. aur app ko apne mobile me install karne ke baad uski madad se apne name ka ringtone create karna hai. To der kis baat ki aayiye iske bare me jante hai. India Me Help par pahle hi bataya gaya hai ki Jio Sim Me Free Me Caller Tune Active kaise kiya jata hai.
- Idea Sim Par DND ( Do Not Disturb ) Active Kaise Kare
- Google Chrome Browser Ke Liye Top 10 Useful Extension
विषय-सूची
Name Wala Ringtone Kya Hota Hai ?
Chahe feature phone ho ya smartphone har mobile me mobile banane wali company ki taraf se usme kuch ringtone diya gaya hota hai. Taki user ke mobile par koi call aaye to user ko pata chal sake. Ye ringtones mobile banane wali company ki taraf se banaya gaya ya yun bole ki customize kiya gaya hota hai.
Par apne name ka ringtone isse alag hota hai. Ye ringtone mobile banane wali company ki taraf se nahi balki khud se banaya gaya hota hai. User apne hisab se apne name ya kisi aur ke name se bhi ringtone bana sakta hai. Udaharan ke liye niche kuch ringtones ka udaharan diya gaya hai jo aap dekh sakte hai.
- kishor kumar gupta apna phone uthaye
- your phone is ringing please pick up your phone
- kishor jee aapka phone baj raha hai, apna phone uthaye
- aapka friend rahul ne call kiya hai apna phone uthaye
- senorita ne aapko call kiya hai apna phone uthaye
Apne Name Ka Ringtone Banane Wala App
Google ke play store par bahut se my name ringtone wala apps maujood hai. Par sabhi me utna jyada feature nahi diya gaya, jiski madad se aap apne name ka ek achha sa ringtone bana sake.
Is post me 3 app ka name aur link diya gaya hai, jo badhiya to hai hi sath me logo dwara pasand bhi kiya jata hai. Aur bataye gaye apps ka rating bhi achhi hai. To ab bina deri kiye in apps ke bare me jante hai.
My Name Ringtone Maker
App ko download karne ke liye niche link par click kijiye
Ye android application name ki ringtone banane ke liye bahut hi achha hai. Sath me isme mp3 cutter ki bhi suvidha di gayi hai. Isme aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Aap app ko Download kar ke apne mobile me Install kar le.
Ab aap app ko install karne ke baad open kare. Open karne ke baad my name ringtone uske baad Create Ringtone par click kare. Phir your name ke box me aap apna Text likhe. Example – Gupta Jee Aapka Phone Aaya Hai. Text likhne ke baad Save ki button par click kar ke save kar le.
My Name Ringtone Maker With Flash Alert
App ko download karne ke liye niche link par click kijiye.
Is aap me bahut se man aur lady’s ka voice ringtone banane ke liye uplabdh hai. Ye app bilkul free hai. isme bhi aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Aapko box me Text likh kar Save ki button par click karna hai.
Name Ringtone Maker
App ko download karne ke liye niche link par click kijiye.
Is app me bhi same process hai. Aapko app ko download kar ke aur phir use open kar ke box me apna Text likhna hai aur phir Save ki button par click kar ke save kar lena hai.
Apne Naam Ka Ringtone In Website Se Download Kare
Apne name ka ringtone banane ka bahut sa tarika hai. Aap chahe to name wala ringtone online bana kar download kar sakte hai. Internet par apne name ka ringtone banane wala website bahut hai. Yahan par kuch website ka link diya gaya hai ProKerala, Yournameringtone Aap in website ki madad le sakte hai.
Step 1
Sabse pahle aap apne mobile ya computer ke browser me is website ko open kare. F.D.M.R
Step 2
Aap jaise hi is website ko open karenge website ke left side bar me bahut se name se bana ringtone dikh raha hoga. Agar us list me aapka name hai to aap us par click kar ke download kar sakte hai.
Aur agar aapko us list me aapka naam nahi dikh raha, to aap niche bataye gaye step ko follow karen.
Aapko FDMR website ke home page par ek search box dikh raha hoga. Aap us search box me apna name likh kar search karen. Aur aapko jaise hi aapka name mil jaye aap us link par click kar ke use download kare len.
- Facebook Account Block Kyun Hota Hai 20 Kaaran ( Reasons )
- Apne Facebook Account Ko Remotely Log Out Kaise Kare
- 1 Mobile Me 3 Whatsapp Kaise Chalaye
- Whatsapp Se Paise Kaise Kamaye – Puri Jankari Hindi Me
Aasha karta hu aapko mera ye post apne name ka ringtone kaise banaye post aapko pasand aaya hoga. Aur aap apne mobile me new ringtone set karne ke liye bataye gaye website aur app ki madad se apne khud ke name ka ringtone bana liya hoga. Android mobile se duplicate files delete kaise kare janne ke liye yahan click kar sakte hai – Yahan Click Kare.
Hi,
Aapka Post Bahut Hi Accha Tha.
Aapne Bahut Hi Easy Tarike Se Isko Bataya, Iske Liye Meri Taraf Se Aapka Dhanyawaad.
Aise Hi Post Banate Rahiye 🙂
Thank You
Sir lagta hai is post me jis website ka name bataya gaya hai aap uske admin/owner hai ? agar aisa hai to aapko bhi post par comment karne ke liye bahut bahut dhanyawad…..
Ringtone