Kai logo ka Facebook account jald hi block ho jata hai. Kaaran hota hai fake I’d banana ya facebook ki Terms And Conditions ko thik se follow nahi karna. Agar aapka facebook account kisi karan was block ho gaya hai to aap is post ko last tak dekhe. Is post me facebook i’d ko unblock kaise kare इसी ke bare me bataya gaya hai.
Jitna asan facebook par Account banana hai utna hi asan facebook istemal karna hai. Log is par I’d create kar ke apne friends, family aur apne chahne wale ke sath chating se lekar photo, video, text message ityaadi share karte hai. Aur apne logo ke sath jude rahte hai. Par ye sab facebook ki service ka labh uthane ke liye user ko facebook ki Terms and conditions ( नियम और शर्तें ) ko follow karna hota hai.

Jo user facebook ki Terms and conditions ko thik se follow nahi karte, facebook ki team us user ka account review karti hai. Aur phir review ke baad नियम और शर्ते तोड़ने पर us account ko block kar deti hai. India Me Help par pahle hi bataya gaya hai ki facebook account Block kyun hota hai 20 karan. Aap is post ko read kar ke I’d block hone ka मुख्य karan jaan sakte hai.
विषय-सूची
Block Facebook Account Ko Unblock Kaise Kare
Bina kisi karan ke facebook ki team kisi bhi account ko block nahi karti. User dwara koi galti ho jane, facebook ki नियम और शर्ते na manne, ya kisi dusre user dwara Account Ki Report karne par facebook us account ko block kar deti hai.
Agar aapka facebook account original hai. Aapne account banate samay apna name bhi original rakha hai. Aur kisi ne account ko report kar ke block karwa diya hai to aise me aap facebook ki team ko ek request send kar ke apna facebook account unblock karwa sakte hai.
Ye process bahut hi saral hai. Iske liye aapko apna photo laga I’d proof facebook ko send karna hai. Facebook ki team ko I’d proof send karne ke baad facebook ki team aapke request ko review karegi. Aur facebook ki team ko lagega ki aapka account unblock kar dena chahiye to wo aapke facebook i’d ko unblock kar denge. To aayiye ab jante hai ki block facebook id ko kaise khole.
Note : Ye process sirf original facebook I’d ke liye hai. Jinka fake account hai wo is process ko follow na kare.
STEP 1 : Account Recovery Page Par Jaye
Sabse pahle niche diye gaye link par Click kijiye. Aur Account Recovery Page page par jaye.
Link par click karne ke baad ek form open hoga jisme aapko apna Email Address, Phone Number, Name enter karna hai. Sath me aapko apna ek photo laga I’d Proof submit karna hai.
STEP 2 : Information Submit Kijiye
( A ) Log in email address or mobile phone number ke box me apna facebook me diya gaya Email Address ya Phone Number enter kijiye.
( B ) Your full name ke box me apna Facebook Name enter kijiye.
( C ) Your id (s) ke niche Choose File par click kijiye. Aur apna Aadhar Card, Voter I’d Card, Pan Card ya Driving License inme se kisi ek ka photo ya document ka photo copy Upload kijiye.
( D )Sabhi information fill karne aur achhe se check karne ke baad last me Send option par click kar dijiye.
Facebook I’d unblock ke liye request send karne ke baad aapko kuch ghante baad ya 1 सप्ताह ke andar aapke Email par ek email aayega. Isme aapko 24 ghante se lekar 1 सप्ताह tak ka samay lag sakta hai. Confirmation message aane ke baad aap use open kar ke Verify kar lijiye. Verify karne ke baad aap apne block facebook account ko khol sakte hai.
Agar Confirmation message 1 सप्ताह ke andar na aaye to aap phir se dobara request send kar sakte hai.
Facebook I’D Unblock Hone Ke Baad Rakhe In Baaton Ka Dhyan
Facebook account open ho jane ke baad aap facebook istemal karte samay facebook dwara banaye gaye Terms And Conditions ko achhe se follow kijiye. Aisa karne se aapka I’d kabhi block nahi hoga. Aur agar aap baar baar facebook ki terms and conditions ko todenge to aapka I’d hamesha ke liye block bhi ho sakta hai. Isliye facebook dwara banaye gaye नियमों ka ulanghan na kare.
Ise Bhi Read Kijiye :
- Facebook Messenger Me Log Out Kaise Kare
- Whatsapp Se Paise Kaise Kamaye
- Apne Name Ka Ringtone Kaise Banaye
- Voter I’d Card Mei Name Address Change Kaise Kare
- Facebook Par Ulta Text ( Upside Down Text ) Me Kaise Likhe
Ummid hai India Me Help par publish ye post aapko acha laga hoga. Facebook se jude dusre post पढ़ने ke liye yahan click kar sakte hai – Facebook.
This really answered my problem, thank you!
Thanks
thanks
Sir ap bahut achi jaankari share karte ho 🙏🙇thanks