Blog website mobile friendly hai ya nahi kaise jaane. Doston aapka blog chahe blogger blogspot, wordpress, godaddy, joomla ya jis kisi platform par banaya gaya ho. Blog/website banane ke baad sabse pahle uska basic settings karna hota hai.
Kuch blogger blog banate ke baad blog responsive mobile friendly hai ya nahi ? Sabhi devices aur sabhi browser me thik se open hota hai ya nahi check nahi karte. Aur wo sidha post publish karna start kar dete hai. Aisa karna thik nahi hai. Aaj ke is post me ham ye janenge ki blog website mobile friendly hai ya nahi kaise pata lagaye.
Site ko search engine friendly aur user friendly jo mobile me visit karne par bhi thik se open ho banane ke liye blog ko mobile friendly banana padta hai. Kyunki sabhi theme ( template ) mobile friendly nahi hota.
Blog Website Ko Mobile Friendly Banana Kyun Jaruri Hota Hai
Kai theme computer ya laptop me to thik se open ho jata hai. Par smartphone aur tablet device me open karne par content hide aur cut ho jaata hai. Aur aise me site visitors dwara page open karne par content hide aur cut hone par visitors ko pareshani hoti hai. Aur visitors aise site ko visit karna bilkul bhi pasand nahi karte.
Bahut se log hai jo bhari bharkam computer aur laptop se jyada halke aur size me chote small screen yaani ki smartphone me internet chalana aur site ko visit karna pasand karte hai. Kyunki smartphone ko aap lagbhag sabhi jagah le jakar istemal kar sakte hai.
Aise me agar aapka blog/site mobile ( smartphone ) aur tablet me thik se open nahi hoga, to log aapke site ko bahut kam hi visit karna pasand karenge. Aur aapke blog par bahut hi kam visitors aayenge.
Agar aap apne blog par free ya paid theme ( template ) ka istemaal karte hai, Ya karne ki soch rahe hai. To istemal karne se pahle theme ki detail ko achhi tarah se read aur check kar le. Theme sabhi devices jaise computer, laptop, tablet aur smartphone me thik se work yaani ki open hota hai ya nahi.
Yahan par aapko batata chalu ki free ke mukable paid theme kahin jyada achha hota hai. Isliye agar aap paid theme buy karne me sakcham ho, to aap paid theme ko hi buy kare. Aur apne blog website par istemaal kare.
Agar aap search engine me site ko rank karana aur site par achhe khase visitors ko dekhna chahte hai, To aapko apne site ko har haal me responsive mobile friendly banana hi hoga. To ab is post ko aur jyada lamba na karte huye aayiye jaante hai ki blog website mobile friendly hai ya nahi kaise check kare.
Google Mobile Friendly Test Tool Se Blog Website Mobile Friendly Hai Ya Nahi Kaise Check Kare
Check karne ke liye ham online tool ka sahara lenge. Ye ek google ki hi service hai. Aur aapko batata chalu ki ye bilkul free hai. Pata lagane ke liye sirf 1 minute ka samay lagega. To chaliye start karte hai.
1 : Sabse pahle aap google mobile friendly test site par jaye.
2 : Ab aapke saamne ek box hoga. Aap us box me apne blog ka Url enter kare, Aur phir Run Test par click kare.
3 : Ab aapke saamne popup windows open hoga. Aur aapko kuch images ko select kar ke verify karna hai. Aap bataye gaye rule anusar images ko Select kare, Aur phir Verify ke option par click kare.
Aap jaise hi images ko select kar ke verify karenge. Aapki site analyze aur scan hona start ho jayega. Aap kuch time intezaar kare. Thodi hi der me result aapke saamne hoga.
Aasha karta hun mera ye post aapko pasand aaya hoga. Agar aapko mera ye post pasand aaya ho, to aap is post ko apne friends aur dusre blogger ke sath jarur share kare. Aur agar is post se related koi sawal ya sujhao hai ? to niche diye gaye comment box me comment kar ke jarur bataye.
Mujhe aasha hai ki blog website mobile friendly hai ya nahi aapne pata karna sikh liya hoga. Agar aap apne blog website ke liye about us page banna chahte hai to post read kare. Aur blogging se gude dusre post read karne ke liye yahan click kare – blogging.
Be the first to comment