Agar aapka blog wordpress par hai to aaj ka ye post aapke kaam ka ho sakta hai. Aaj ke is post me bahut hi saral tarike aur bahut hi vistaar se bataya gaya hai ki broken link kya hota hai, aur broken links ko remove/delete ya fix kaise kiya jata hai.
Aapne gaur kiya hoga ki kabhi kabhi kisi link par click karne par page not exist, url not found, 404 page not found etc show hota hai. Isi ko broken link kaha jata hai. Simple word me bolu to wo link jo ab kaam nahi kar raha hota.

Blog website par ek nahi bahut saare links hote hai. Ye links aapke blog post, comment, home page ya pages me hota hai. Aur agar inme aise link hai jo ab work nahi kar raha, to ise remove/delete ya fix karna jaruri ho jata hai.
Kai baar aisa hota hai blogger apne kisi expire post ko remove ( delete ) kar dete hai. Ya kisi post ke permalink me kuch edit karte hai to us post ka link change ho chuka hota hai. Par wo post ya link search engine me index ho chuka hota hai. Aur jab wahi index post search results me show hota hai. Aur jab koi visitor us link par click karta hai, to wahan par use page not found, 404 error show hota hai.
Broken link na visitors pasand karte hai, or na hi search engines. Search engine bots broken links ko bilkul pasand nahi karte. To aise me ise hamesha ke liye delete ya ise fix karna jaruri jo jata hai.
- Blogger Blog Ke Domain Me Www. Ki Setting Kaise Kare.
- WordPress Blog Me Theme Install Karne Ke 3 Tarike.
विषय-सूची
Broken Link
Yahan par aapko batata chalu ki broken link ko dead link bhi kaha jata hai. Dead links kai wajah se create ho jata hai. Jaisa ki mein upar me pahle hi bata chuka hun ki is tarah ke links aapke blog ke home page, post, pages aur post ke comment section me comment ke roop me ho sakta hai.
Aapki jankari ke liye batata chalu ki agar aapke blog website par had se jyada dead links hai to aise me search engines jaise google, bing aur dusre jitne bhi search engines hai wo aapke blog website ko search engine me hide bhi kar sakte hai. Isliye jahan tak ho samay samay par in links ko check karte rahna chahiye. Aur blog par dead links milne par ise delete ya fix jarur karna chahiye.
Link 2 Tarah Ka Hota Hai
1 Internal Link
jaisa ki name se hi pata chal jata hai ki internal link kise kaha jata hai. jab koi blogger apne blog par apne hi blog ka koi link add karta hai to use internal link kaha jata hai.
2 External Link
Agar aap apne blog par kisi dusre blog/website ka link add karte hai to use external link kaha jata hai.
Broken Links Se Hone Wale Nuksan
Broken links matlab tuta hua link. Jo ab kisi kaam ka nahi rah gaya use hi broken links kaha jata hai. Is tarah ke links se blog owner ko kuch nuksaan bhi hota hai. Hone wale nuksan niche bataya gaya hai jo aap read kar sakte hai.
- Is tarah ke link blog par hone se blog visitors ko pareshani hoti hai.
- Visitors jab bhi is tarah ke link par click karte hai, to unhe wahan par 404 page not found, link not exist show hota hai.
- Is tarah ke link visitors bilkul bhi pasand nahi karte. Aur visitors wapas dubara se us blog ko visit karna pasand nahi karte.
- Blog par had se jyada broken links hone par search engine me blog ki ranking kam hoti hai.
- Blog ki traffic kam ho jati hai.
Mujhe aasha hai ki ab aap samajh gaye honge ki is tarah ke links se kya nuksan hota hai. Aur broken links ko blog se kyun remove karna chahiye.
- Blogger Blog Me Theme Change/Upload Kaise Kare.
- Android Mobile Se All Duplicate Files Ko Delete Kaise Kare.
Bog Par Broken Link Kaise Check Kare
Is tarah ke links ko find karna bahut hi aasaan hai. Dead links find karne ke kai tarike hai. Example : Ise aap manually find kar sakte hai. Par jaisa ki blog website par ek nahi bahut sare links hote hai. Isliye ise manually find karne me bahut samay lag sakta hai.
Internet par kai aise tools, plugins, or website hai jo is tarah ke links ko khojne me aapki madad kar sakte hai. Meine kuch website ka link niche diya hai. Aap chahe to diye gaye website ki sahayata le sakte hai.
Upar me diye gaye website ki madad se aap bahut hi aasaani se apne blog/website par broken links find kar sakte hai. Aur find ( khoj ) kar ke bahut hi aasaani se apne blog se broken links ko hamesha ke liye delete kar sakte hai.
Broken Link Kaise Check Or Remove ( Delete ) Kare.
Online broken link checker website ki madad se kaise broken links delete kiya jata hai meine step by step bataya hai. Aap chahe to post me bataye gaye step ko follow kar sakte hai.
STEP 1 :
1 : Sabse pahle Online Broken Link checker website par jaye.
2 : Enter your url below ke box me apna blog ka Url enter kare. Example : www.indiamehelp.com
3 : Find Broken Links par click kare.
STEP 2 :
Ab ek new page open hoga. Jisme aapko security code enter karna hai.
1 : Security Code enter kare.
2 : Find Broken Links Now ! ke option par click kare.
Ab aap kuch time intezaar kare. Broken links find hone me kuch minutes ka samay lag sakta hai. Find hone ke baad result aapke samne hoga. Aapki suvidha ke liye niche meine screen shot diya hai jo aap dekh sakte hai.
STEP 3 :
Ab aapke blog par jitne bhi broken links hoga sab serial number se aapke samne aa jayega. Sath hi ye link kis page par hai wo bhi aapke samne show hoga.
1 : Url Src par click kare. Aur us page ko open kare jispar ye link hai.
2 : Ab aap Post Edit me jaye, aur page par show ho rahe link ko find kare. Aur us link ko edit kar ke fix kare ya hamesha ke liye delete kar de.
- Blogger Blog Par New Page Kaise Banaye Or Use Menu Bar Me Kaise Add Kare.
- Custom Permalink Kaise Use Kare Blog Me.
Aasha karta hu aapko mera ye post broken link kaise check kare or ise delete kare post aapko pasand aaya hoga. Aap chahe to is post ko dusre blogger ke sath share kar sakte hai. Blogging se jude dusre post read karne ke liye aap yahan click kar sakte hai – Blogging.
nice post sir.
sir broken link remove kr diye fir bhi show kar rhe h help me
Sir aap apne blog ko browser ke incognito mode me open kare. ya aap apne browser se history, cached, cookies etc ko delete kar de remove kiya gaya broken links show nahi hoga….
nice article bro i loved it
nice