Aaj ka ye post un logo ke liye hai jo apna khud ka gmail account kisi kaaran was delete kar chuke hai. Aur wo apne deleted gmail account recover karna chahte hai. Kahne ka matlab delete ho chuke gmail account ko dobara wapas kaise laya jata hai. Aaj ke is post me hum yahi janne wale hai. Aap is post ko last tak dekhe aur jaane ki dobara recover kaise kiya jata hai.
Google Gmail Email address banana bilkul free hai. Aur new account create karne ke liye mushkil se 3 se 5 minutes ka samay lagta hai. Isliye kai log ek se jyada account create kar lete hai. Aur baad me unke paas ek se jyada kahne ka matlab unke paas dher saare gmail account hone ki wajah se unhe pareshani hoti hai. Tab wo pareshan hokar wo apne gmail Account Delete kar dete hai.
Deleted Gmail Account Recover Karne Ka Kai Kaaran Ho Sakta Hai
Kai log apne account ki security par jyada dhyan nahi dete. Aur apne account me diye gaye account security ki service ko enable kar ke nahi rakhate.
Natija ye hota hai ki jara si wo galti karte hai aur unka gmail account hack ho jaata hai. Account hack hone par kai log account ko kisi tarah dobara recover kar lete hai. Aur baad me kisi dar ki wajah se apna gmail email account hi delete kar dete hai.
Ham apne gmail account ki madad se koi blog, website, ya koi game ya application me signup karte hai. Aur us account ka password ham bhul jate hai. Aur hame us account ka password reset karna hota hai. Tab hame apne register gmail account ki jarurat hoti hai.
Kyunki gmail ki madad se aap kisi ko email send aur prapt kar sakte hai. Aur ho sakta hai ki aapke Gmail account ke inbox me koi important mail ya yun kahen ki mail me koi important data ho. Aur aapne jaldbaji me bina soche samjhe apne gmail account ko delete kar diya ho.
Gmail account me aap apne contact ka backup store kar ke rakh sakte hai. Aur sath hi gmail account ki madad se aap google drive me apne photos, videos, aur other documents ko aap online store kar ke rakh sakte hai. Agar aapne bhi apna data store kar ke rakha hua hai. Aur aap apne google gmail email account ko delete kar chuke hai. Aur agar aap in sab chizon ko dobara recover karna chahte hai. To sabse pahle aapko apne gmail account ko recover karna hoga. Deleted gmail account recover karne ke aur kai karan ho sakta hai.
- Whatsapp Ki Madad Se Paise Income Kaise Kare.
- Whatsapp Par Stylish Or Colorful Text Messages kaise send kare.
Deleted Gmail Account Recover Kaise Kare Hindi Me Jankari
Kai log ye sochte hai ki google email address ko delete karne ke baad wo turant permanent yaani ki hamesha ke liye delete ho jaata hai. Par asal me ye sach nahi hai. Google ka email address delete karne ke baad bhi ek limited samay ke andar use restore kiya ja sakta hai.
Deleted gmail account recover karna bahut hi saral hai. Par yahan par main batata chalu ki jaisa ki maine upar me bataya hai ki ek limited samay ke andar hi account ko recover kiya ja sakta hai. Agar aap long time ke baad recover karenge tab aapka account recover nahi hoga. to chaliye suru karte hai.
1 : Sabse pahle aap gmail ke log in par par jaye. Aur apna delete kiya hua gmail ko Enter kare. Aur Next ki button par click kare.
2 : Ab aapke samne 2 message show hoga. 1st this account was deleted aur 2nd attempt to restore this account. Aap Attempt To Restore This Account ke option par click kare.
3 : Ab aapse pucha jayega ki aapke gmail account ka last password kya tha. Aap apna Password enter kare. aur Next ki button par click kare.
jaise hi apna password enter karenge, deleted gmail account recover ho chuka hoga. Aap Continue ki button par click kar ke my account ke option me pahuch sakte hai. Congratulations ab aapka kaam ho chuka hai. Ab aapko kuch aur karne ki jarurat nahi hai.
- Jio Sim Par Free Me Caller Tune Kaise Active Kare.
- Voter I’d Card Me Name Address Change Kaise Kare.
Aasha karta hu aapko mera ye post Deleted Gmail Account Recover Kaise Kare aapko pasand aaya hoga. Aur agar is post se related koi sawal ya sujhao hai to aap niche diye gaye comment box me comment kar ke bata sakte hai.
Muje help chahiye
kya help chahiye boliye ?
very nice post sir thunks for sharing this post
Sir bahut achhi post likhi hai. Aapne isse logo ko bahut help milegi