Logo ke mann me ye sawal hota hai ki wo apna personal aur business mobile number ko Whatsapp par alag kaise rakhe. Aaj ke is post me iska hi solution bataya gaya hai. Is post me bataya gaya hai ki kaise aap ek mobile me two whatsapp chala sakte hai.
Jaisa ki aapko maaloom hoga ki whatsapp par aap jise bhi photo, Text, Video, Audio aur Gif send karte hai, unhe aapka mobile number show hota hai. Yaani ki aapka mobile number unhe pata chal jata hai.
Example ke liye maan lijiye ki aapne apna whatsapp account personal number se bana rakha hai. Aur aapko apne office me kisi ko whatsapp par kuch send karna ho, to aise me aap unhe kuch bhi send karenge, to unke paas aapka mobile number chala jayega. Mein pahle hi bata chuka hu ki Whatsapp Account Delete kaise kiya jata hai.
Aapka personal mobile number aapke office ke logo ke paas na jaye isse bachane ka sabse accha tarika ye hai ki aap apne mobile me 2 whatsapp install kar le. 1 personal jisme aapke family members aur friends ho. Aur dusra aapke business ya job ke liye.
Ek Mobile Me Two Whatsapp Kaise Install Kare
Agar aapke mobile me 2 whatsapp account hoga to aap bahut hi asani se ek whatsapp me apne friends aur family ke sath baat kar sakte hai. Aur dusre se apne office ke logo, ya kisi aur ke sath baat kar sakte hai. Aisa karne se aapka personal mobile number aapke office ke logo ke sath share nahi hoga.
Whatsapp par personal number unjaan logo ke sath share hone ka dusra sabse bada reason whatsapp group hota hai. Kai log whatsapp par koi group banate hai, aur usme kai logo ko add karte hai. Aur aapko bhi us group me add kar dete hai. Jisme kai log aise bhi hote hai jinse aapki jaan pahchan nahi hoti. Or aapka personal mobile number unke paas chala jata hai jinhe aap jante tak nahi. Mein pahle hi bata chuka hu Whatsapp Group Delete kaise kiya jata hai.
Agar aap chahte hai ki aisa na ho to simple si baat hai ki aap 1 mobile me 2 whatsapp chalaye. Jisme ek personal mobile number se open kare. Aur dusra aise kisi mobile number se jis number ko aap sabhi logo ke sath share kar sake. Niche meine iske bare me hi bataya hai jo aap dekh sakte hai.
- Bina Crop Kiye Whatsapp Par Profile Photo Full Size Me Kaise Lagaye.
- Whatsapp Se Deleted Messages Ko Restore Karne Ke 3 Tarike.
Dual Messenger Se Two Whatsapp Install Kare
Aaj kal bahut se android smartphone me two separate accounts jaise ( Facebook, Messenger, aur Whatsapp ) chalane ka vikalp diya gaya hota hai. Aap iske liye apne smartphone ki Settings >>>> Advanced Features >>>> Dual Messenger me jakar Whatsaap ko Enable kar sakte hai. Aisa karne se aapke mobile me two whatsapp app install ho jayega. Par iske liye aapke phone me pahle se whatsapp app install hona chahiye.
Aur Agar aapke mobile me upar bataya gaya featured uplabdh nahi hai, to aap aisa third party app ki madad se bhi kar sakte hai. Iske liye aapko google ke play store se ek application ko download karna hoga. Bataye gaye application ko download kar ke aap apne android phone me two whatsapp account istemaal kar sakte hai. Niche meine step by step bataya hai aap use follow kare.
Parallel Space App Se 1 Mobile me 2 Whatsapp Chalaye
1 : Sabse pahle aap google ke play store par jaye. Aur Parallel Space – Multiple Accounts & Two Face app ko apne phone me download kar ke install kar lijiye.
2 : Parallel space app ko Open kare. Aur whatsapp app ko Select kare, aur Add To Parallel Space par click kare.
3 : Accept ke option par click kare.
4 : Ab aap jaise whatsapp account open karte hai, thik waise hi yahan par apna new mobile number enter kar ke ek Whatsapp Account Open kar le.
Account create karne ke baad aap parallel space app ko open kar ke 2nd whatsapp account istemaal kar sakte hai.
Extra : Bataya gaya app ki madad se aap dusre aur kai apps ka duplicate bana kar 1 mobile me two separate account istemall kar sakte hai. Example – Facebook, Twitter, Messenger, Paytm, Paytm Mall, Flipkart, Amazon Shopping etc.
Asha karta hu aapko mera ye post ek mobile me two whatsapp kaise chalaye post aapko pasand aaya hoga. Aap whatsapp se jude dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai. Whatsapp.
badiya post hai. bhut helpful hai.