Har koi chahta hai ki unka facebook account kisi hacker dwara hack na ho. Facebook apne user ko samajhta hai. Aur isi liye facebook user ke account ki security ko dhyan me rakhte huye facebook Two step verification laya hai. Jiski madad se user ke account ko puri tarah se secure kiya ja sake.
Aaj ke is post me bahut hi saral tarike se bataya gaya hai ki kaise aap facebook i’d me two step verification enable kar sakte hai. Aur facebook account ki security kaise badha sakte hai.
Social networking site facebook duniya ki sabse secure site me se ek hai. Aur ispar aapke information secure rahte hai. Kahne ka matlab aapka saara informations bilkul safe hota hai. Facebook team security par bahut hi jyada dhyan deti hai. Aur samay par apne security ko badhati bhi hai.
Agar aapko apne facebook account hack hone ka dar sata raha hai. To aap facebook 2 step verification ko on kar ke apne facebook i’d ki security badha sakte hai. Facebook 2 step verification enable karne ke baad facebook account lagbhag lagbhag puri tarah se surachit ho jaata hai.
Facebook ek bahut hi secure site hai. Par phir bhi facebook par kai logo ka account hack ho jata hai. Par aisa kaise hota hai. Kyunki wo apne facebook account ki security par dhyan nahi dete. Aur facebook par diye gaye security option ko enable kar ke nahi rakhte. Natija ye hota hai ki jara si wo galti karte hai. Aur unka account kisi aur ke hath me chala jata hai. Yaani ki hack ho jaata hai.
Facebook Two Step Verification Kya Hai?
Facebook 2 step verification jaisa ki name se hi pata chal jaata hai ki, two step yaani ki agar aap apne facebook account me log in karna chahte hai, To iske liye aapko 2 step ko follow karna hoga. 1st step me log in karne ke liye apna user name aur password enter karna hoga. Aur 2nd step me aapko ek otp code ( one time password ) enter karna hoga.
Ab aapke mann me ye sawal uth raha hoga ki ye otp code hame kahan milega. Yahan par aapko batata chalu ki otp code aapke dwara register mobile number par send kiya jayega. Aap jab bhi apne facebook account me log in karenge . Aapko apna user name aur password enter karne ke baad aapko otp code ( One Time Password ) bhi enter karna hoga. Tab jakar aap apne facebook account me enter kar payenge.
Facebook Two Step Verification Enable Karne Ke Fayde
google account, paytm, cloudflare, godaddy, banking sites, facebook, microsoft aur aisi bahut si blog aur websites hai jo ab apne user ko Two step verification service provide karti hai. Taki koi hacker unke user ke account ko hack na kar sake. Ise on karne ke baad koi bhi hacker bina otp code jise ( One Time Password ) bhi kaha jata hai, ke bina user ke account me enter nahi kar sakta. Niche me maine bahut hi vistaar se bataya hai ki ise enable karne se kya kya fayda hoga.
- Aapke facebook account ka security mazboot hoga.
- Aap jis mobile number ko facebook 2 step verification me register karenge usi par otp code aayega.
- Otp code ke bina koi unknown person aapke facebook account open nahi kar payega.
- Facebook account hack hone ke chances kam hoga.
- Agar koi person aapke facebook account ka user name aur password janta hai phir bhi wo bina otp code ke aapke account me log in nahi kar payega.
Facebook I’d Me Two Step Verification Active Kaise Kare
Agar aap facebook 2 step verification enable karna chahte hai, to ise active karna bahut hi saral hai. Niche maine step by step bataya hai aap bataye gaye step ko follow kare.
1 : Sabse pahle apne facebook account me Log In kare.
2 : Ab aap Settings >>>>> Security And Login ke option par click kare.
3 : Ab aap set up two factor authentication ke Edit option par click kare.
2 step verification me pahle se aapka mobile number add hai to acchi baat hai. Aur agar pahle se aapka mobile number add nahi hai to sabse pahle add phone ke option par click kar ke mobile number ko add kar le. Uske baad aage ki step ko follow kare.
4 : Last me aap are you sure that you want to set up two-factor authentication ke box ko Tick kare. Aur Enable ke option par click kar de.
Aapne apna kaam successfully kar kiya hai. Ab aapko kuch aur karne ki jarurat nahi hai. Ab jab bhi aap kisi naye device ya browser me apne facebook account me user name or password enter kar ke log in karenge to aapke register mobile number par ek otp code ( one time password ) aayega. Aapko otp code ko log in page par enter karna hoga tab jakar aap log in ho payenge.
- Android Mobile Se All Duplicate Files Ko Ek Click Me Delete Kaise Kare.
- Email Send Kaise Kiya Jata Hai.
Aasha karta hu facebook Two step verification enable kaise kiya jata hai aapko pasand aaya hoga. Agar aapko mera ye post pasand aaya ho, To aap is post ko apne friends aur apne family’s ke sath jarur share kare. Jisse unke facebook account ki security badhaya ja sake. Aur aap facebook se judi dusre post read karne ke liye yahan click kare – facebook.
Nice article bro thanks for sharing this article
first comment, yeeey!