Facebook account kaise banaye. Hello dosto aaj ka ye post unke liye hai jo social networking site facebook ke bare me utna jyada nahi jante. Aur facebook par apna khud ka ek facebook i’d banane ki soch rahe hai. Aaj mein is post me ye bataunga ki facebook account kaise banaya jata hai. Aap is post ko last tak dekhe. Aur facebook par I’d create karne se pahle isse judi kuch baaton ko jaane.
Social networking site facebook duniya ki sabse popular social networking site me se ek hai. Facebook par log khud ka I’d bana kar ke apne doston, family aur apne parichit ke sath unko friend request send kar ke jud jate hai. Aur facebook par apne friends, family, aur apne parichit ke sath photo, animation, video, text messages aur bhi bahut kuch ek dusre ke sath share karte hai.
Social Networking Site Facebook Kya Hai?
Ye ek social networking platform hai. Ispar aap apna khud ka account bina ek paise kharch kiye bana sakte hai. Aur apne friends, family aur apne parichit ko friend request send kar ke ek dusre ke sath facebook par jud kar apne vichar, koi news, talent, photo, video, animation aur bhi bahut kuch ek dusre ke sath share kar sakte hai. Facebook ke user’s lagbhag puri duniya me maujood hai. Aur ise har desh ke log khasha pasand bhi karte hai.
Aapko batata chalu ki facebook 2004 me bani hai. Aur tab se aaj tak ye bilkul free hai. Kahne ka matlab iska istemal karna bilkul free hai. Ispar aap apna khud ka I’d, facebook page, facebook group etc bina ek paise kharch kiye bana sakte hai.
I’d ise dusre sabdon me account bhi bola jata hai. I’d create karna behad hi aasaan hai. Koi bhi internet user jise internet ki thodi bahut bhi jaankari aati hai wo apna facebook account bana sakta hai. Agar aap ye soch rahe hai ki facebook I’d kaise create kiya jata hai to aap sahi post website par hai. To aayiye dekhte hain ki facebook par account kaise banaya jata hai.
Facebook Account ( I’d ) Kaise Banaye Ki Jankari Hindi Me
Step 1 :
Sabse pahle aap facebook.com par jaye.
Ab aapko kuch jankari deni hai. Aap niche bataye gaye step follow kare.
Step 2 :
1 First Name : Isme aap apna First Name aur Middle Name likhe.
2 Surname : Isme aap apna Title likhe.
3 Mobile Number Aur Email Address : Agar aap mobile number se i’d banana chahte hai, to aap apna Mobile number isme enter kare. Aur agar aapke paas koi email address hai, to aap isme apna Email Address enter kare. Dono me se sirf ek hi enter kare. Chahe to aap apna mobile number enter kare, ya sirf email address.
4 New Password : Isme aap ek strong Password enter kare. ( Note ) Aapke dwara enter kiya gaya password ko aap yaad rakhe. Kyunki baad me aapko iski jarurat पड़ेगी.
5 Birthday : Aap apna Date Of Birth yaani ki ( janam tithi ) enter kare.
6 Female Male : Isme aap apna Gender chune. Agar aap male hai to aap male select kare. Aur agar aap female hai to aap female select kare.
7 : Ab aap last me Create An Account ke option par click kare.
8 : Ab aapke account ko verifi karna hai. Iske liye aapke mobile number ya email address par ek otp code ( one time password ) gaya hoga. Aap use check kare. Aur diye gaye Otp Number ko box me enter kare.
Lijiye ab aapka kaam ho chuka hai. Ab aapka facebook account bankar bilkul taiyaar hai. Ab aap apne jaan pahchan ke log jo pahle se facebook par hai unhe friend request send kar ke unke sath message chat, video call aur un logo ke sath apne vichar share kar sakte hai.
Facebook Account Banane Ke Baad Kya Kare ?
Ab aapko apne facebook account ki settings karni hogi. Niche maine bahut hi saral tarike se bataya hai ki aage kya kya karna hai.
- Sabse pahle apna ek profile picture upload kare.
- Apne facebook i’d me kuch jankari update kare. Jaise aap kahan rahte hai yaani ki aap kis city me rahte hai. Aapka hometown kahan hai, aapka relationships status, aap kya karte hai, aap kaun se school college me पढ़तें hai etc jaankari ko update kare.
- Apne jaan pahchan ke logo ko jise aap jante hai unhe friend request send kare.
- Aap apne manpasand hero, heroin, neta, shopping website ke pages ko like kar sakte hai.
- Aapko jis chiz me interest hai facebook par usse related group search kar ke us group ko join kar sakte hai.
Facebook Par Log In Aur Log Out Kaise Kare
Upar hamane ye jaana ki new facebook i’d kaise banaye. Ab hum ye jaanenge ki facebook me log in aur log out kaise kiya jaata hai.
Facebook Account Me Log In Kaise Kare
1 : Sabse pahle aap facebook.com par jaye.
2 Email Or Phone : Is box me apna email ya mobile number enter kare. Aapne apna account banate samay jo email address ya mobile number diya tha use enter karna hai.
3 Password : Isme aap apna password daale. Aapne i’d banate samay ek password enter kiya hoga us password ko is box me enter karna hai.
4 : Ab aap log in ke option par click kare.
Lijiye ab aap apne facebook account me pahuch chuke hai. Ab aap apne friends, family, aur apne family ke sath text chat, video chat, voice messages kar sakte hai. Aur sath hi aap ispar status update, aur photo aur video update kar sakte hai.
Facebook Me Log Out Kaise Kare
Agar aap kisi aur ke smartphone ya computer me log in kar rakha hai. To aise me apne account me log out karna bahut jaruri ho jata hai. Ye account ki security ke liye bahut hi jaruri hai. Niche maine saral tarike se bataya hai ki log out kaise kiya jata hai. Aap mere bataye gaye step ko achhe se follow kare.
1 : Sabse pahle upar me diye gaye right side me Menu ke option par click kare.
2 : Ab aap sabse niche me diye gaye Log Out ke option par click kare.
Ab aapne apna account me successfully logout kar liya hai.
Main hamesha yahi kosis karta hu ki mujhse jitna ho sake aap logo ko sabse saral kahne ka matlab aap logo ko sabse aasan tarika batau. Aaj ke is post me maine yahi kosis kiya hai. Agar aapko mera ye post pasand aaya ho, to aap is post ko apne dosto aur apne parichit ke sath share kar sakte hai.
Maine wo sari jankari dene ki kosis ki ki facebook kya hai aur facebook account kaise banaye. Aur phir bhi isse related koi bhi sawal hai, to aap comment box me comment kar ke puch sakte hai.
Be the first to comment