Facebook account report kaise kare. Facebook par fake account ki koi kami nahi hai. Ispar har dusra person fake account banaye baitha hai. Agar koi person aapke name ka koi fake account bana rakha hai. Aur aapke name aur aapke photo ka facebook par galat istemaal kar raha hai, to aaj ka ye post aapke kaam ka ho sakta hai.
Aaj ke is post me maine bahut hi saral tarike se bataya hai ki mobile aur computer se facebook par fake account ki report kaise kiya jata hai. Aap is post ko last tak read kare. Is post me isi ke bare me bahut hi saral tarike se aur step by step bataya gaya hai ki kisi dusre ki facebook I’d ki report kaise ki jati hai.

विषय-सूची
Facebook Fake I’d Ki Report Karne Ki Jarurat Kab Hota Hai?
Jaisa ki mein upar me pahle hi bata chuka hu ki facebook par fake I’d ki koi kami nahi hai. Fake account mukha taur par logo ko badnaam karne, aur dusre logo ko pareshan karne ke liye banaya jata hai. To kuch log aise bhi hai, jo just time pass ke liye fake I’d create kar lete hai. Jo kisi dusre boy ya girl ke name par bana hota hai.
Dusre aur bhi kai kaaran hai. Jaise girl ke name ka fake I’d create karna. Aur kam samay me jyada se jyada facebook friends banana. Photo aur status par jyada like paana. Girl ke name par fake I’d create kar ke dusro logo ke sath text messages karna, aur unke sath flirt, aur unhe pareshan karna, spam karna etc.
Aapka ya aapke kisi ristedar ya aapke kisi friend ke name ka koi bhi person fake I’d bana rakha hai. Aur us account me aapka ya aapke ristedar ya friend ka koi photo istemaal ho raha hai, to aise me aap us fake I’d ki report facebook ki team ko kar ke us account ko hamesha ke liye block ya delete karwa sakte hai.
Facebook par fake account ki friend request aksar aati hi rahti hai. Aapko facebook par aksar fake account dekhne ko mil jayega. Aapko agar aise kisi I’d se pareshan kiya ja raha ho, aur agar aapko lage ki wo I’d real nahi fake hai. To aise me aap facebook ki team ko report kar sakte hai.
Facebook Account Ki Report Kab Karna Chahiye?
Koi bhi facebook account ki report karne se pahle aapko ye achhe se jaan lena chahiye ki kis tarah ke account ki report karna chahiye. Aur kis tarah ke account ki nahi karna chahiye.
- Fake account ki report karna chahiye.
- Aapka photo bina aapke anumati ke kisi dusre ki I’d me istemal hone par kar sakte hai.
- Agar aapke friend list me koi aisi I’d hai jiska dainik ziban me uska name kuch aur hai. Aur facebook account me uska name kuch aur hai. Aise me aap facebook team ko suchit kar sakte hai.
- Agar aapko kisi account dwara pareshan kiya ja raha ho.
- Koi I’d spam kar raha ho.
- Account name me koi galat word jaise adul* ya yun kahen ki aslil word ka istemaal kiya gaya ho.
- Account dwara galat comments aur kisi jaati, samuday, ko target kar ke text post ya photo ya video upload kiya ja raha ho.
- Adul* photo ya video upload kiya ja raha ho.
Facebook account ki report karne ke aise aur bhi kai kaaran ho sakta hai. Yaad rahe bina wajah kisi I’d ki report na kare. Agar koi I’d dwara sach me facebook ke terms and conditions ko thoda ja raha ho tab aap facebook ki team ko suchit kar sakte hai.
Aur agar aap bina wajah personal dusmani ke liye kisi I’d ki report karte hai. To facebook ki team aapke facebook account ko fake ya spam maan ke hamesha ke liye block ya delete kar sakta hai.
- Reliance Jio Sim Par Free Me Caller Tune Active Kaise Kare.
- Kisi Bhi Bank Ka Ifsc Code Kaise Pata Kare.
Account Ki Report Karne Ke Baad Kya Hoga?
Aapke dwara kisi I’d ki report karne par facebook ki team aapke application aur us account ko review karegi. Aur wo apne hisab se check karegi ki aapke dwara report kiya gaya application kitna sach hai aur kitna jhooth.
Aur agar unhe lagega ki report kiya gaya I’d sach me fake, spam ya facebook ke term’s and conditions ko tod rahi hai to facebook ki team us account ko block ya hamesha ke liye delete kar sakti hai.
Facebook I’d Ki Report Kaise Kare
Agar aapke paas koi fake facebook I’d hai. Aur aapke paas us account ka I’d aur password maujood hai. To aapko us account ki report karne ki koi jarurat nahi hai. Aap mere is post ko पढ़ kar use hamesha ke liye delete kar sakte hai. Facebook Account Ko Hamesha Ke Liye Delete Kaise Kare.
I’d ki report karna bahut hi saral hai. Iske liye aapko jyada kuch karne ke jarurat nahi hai. Aap mere bataye gaye step ko follow kar sakte hai.
Mobile Se Facebook Fake I’d Ki Report Kaise Kare
1 : Sabse pahle aap apne smartphone me Facebook App open kare. Aur apna I’d aur password de kar apne facebook account me Log In kar le.
2 : Ab aap us account ki profile par jaye jise aap report karna chahte hai. Aur 3 Dots par click kare.
3 : Give Feedback Or Report This Profile par click kare.
4 : Aap jaise hi give feedback or report this profile par click karenge, aapke samne kuch option aa jayaega. Aap diye gaye option me se Kaaran Select kare. Aur Send ke option par click kare.Facebook ki team ko aapne suchit kar diya hai. Ab aapke application ko facebook ki team dekhegi. Aur unhe lagega ki aapke dwara kiya gaya report sahi hai, to facebook ki team us account ke khilaf action legi. Or ho sakta hai ki us i,d ko block ya hamesha ke liye delete kar degi.
Computer Se Facebook Fake Account Ki Report Kaise Kare
1 : Sabse pahle Facebook Account me log in kar le.
2 : Us Profile ko open kare jise aap report karna chahte hai.
3 : Right side me diye gaye 3 Dots aur phir Report ke option par click kare.
4 : diye gaye option me se apna Kaaran select kare. Aur Continue par click kare.
5 : Ek new page open hoga. Isme aapko ye batatna hai ki aapko us i’d se kya pareshani hai. Apna Reason select kare, aur Continue ke option par click kare.
6 : Submitted to facebook for review ko select kare, aur Done par click kare.
- Google Gmail Account Ko Permanent Delete Kaise Kare.
- Saving Aur Current Account Me Kya Antar Hota Hai.
Aasha karta hu aapko mera ye post pasand aaya hoga. Agar aapko is post se related koi sawal ya sujhao hai, to aap niche diye gaye comment box me comment kar ke bata sakte hai.
Mujhe aasha hai aapne achhe se sikh liya hoga ki facebook fake account ki report karne ka tarika kya hai. Aap facebook se jude dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai. Facebook.
good information. thanks for sharing
mera account 72 days ke liye band kar diya gya he me kya kru or fb PR hamare account ki report kon karta he ye kaise pta lgaye plz help me
Aapne Facebook Ki Terms And Conditions Ko Thoda Hoga Isliye Aapka Account 72 Days Ke Liye Band Kar Diya Gaya Hai….
Aap 72 Days Tak Intezaar Kare Uske Baad Aapka Account Open Ho Jayega….
Rahi Baat Aapke Account Ko Kaun Report Kar Raha Hai Wo Janne Ki To Facebook Par Ise Dekhne Ka Koi Vikalp Nahi Dia Gaya hai…..
Simple Shabdo Me Bolu To Aapke Account Ko Kaun Report Kar Raha Hai Aap Nahi Jaan Sakte
okay thanx Ji ser
ser mera ak account diseble ho gya he or main use khol rhi hu to bta RHA he ye number kisi disable account she nhi juda hai kya kru plz help me ser
Chahe To Aapke Account Ka Mobile Number Kisi Ne Change Kar Diya hai…. Ya Aapka Account Hamesha Ke Liye Disbled Ho Gaya Hoga, Isliye Aisa Show Ho raha Hoga…..
Aap Us Account Se Jude E-mail Address Enter Kar Ke Uss Account Ko Open Kare Ya Aap Facebook User Name Enter Kar Ke Open Karne Ka Try Kare….
May kiseko comment kar raha hu to comment nahi send ho rha ha
facebook ke terms and conditions todne par aisa hota hai…
aapne kisi ke post par ulta pulta comments kiya hoga to facebook ki team aapko block kar diya hoga….
aap kuch din inteazar kare aap unblock hone ke baad phir se sabhi logo ke post par dobara comments kar payenge….
Hello Kishor,
Facebook Account Ko report karne ke bare me aapne kafi ache se bataya hai, Bekar chijo ko ham sbko Report karna chahiye jisse hame Facebook par saf suthara vatavarn mile.
Thanks.
badiya post hai kaam ki jaankari hai.
Mere nam se Facebook account fake chlara hai
Mujhe Blok krke
kaise dlate Kroo us account ko
Hep pzzzzz
Sir Ek Neme Se Facebook Par Bahut Se Account Hota Hai….. Ye Koi Badi Baat Nahi Hai…. Agar Aap Jis Account Ki Baat Kar Rahe Hai Usme Aapka Photo, Place, School Name, Date Of Birth Sab Ek Jaisa Hai Tab Aap Us Facebook Account Ki Report Kar Sakte Hai…. Iske Liye Aap Kisi Ko Bol Kar Uss Account Ki Report Facebook Ki Team Ko Karwa Sakte Hai….. Ya Aap Khud Kisi Aur I’d Se Uss Account Ki Report Facebook Ko Kar Sakte Hai….. Report Karne Ke Baad Facebook Uss Account Ko Khud Block Kar Degi….
Sir Aap Is Post Ko Folliw Kare – Facebook Account Ki Report Kaise Kare
Sir kisi ne mera photo aapni id pr daal diya hai kiya me repot kr skta hu report krne k baad mera photo deleat ho jaayega
Sir Aap Uss Facebook I’d Aur Sath Hi Uss Image Ki Report Kar Sakte hai…. Aap Photo Ki Report Kar De Facebook Ki Team Uss Image Ko Remove Kar Degi
Plz mera feedback kho gya h de plz
Sir facebook account khota nahi hai aap apne facebook account ka email address ya mobile number bhul gaye honge…. agar aap apne facebook account ka mobile number ya email address bhul gaye hai aur aapko apne facebook account me log in karne me problem ho rahi hai to aap apne kisi friend ka facebook i’d open kare or apne facebook account ko open kare aur uska user name ya mobile number pata kare agar aap aisa nahi kar paa rahe to aap us accunt ko forgot password kar ke mobile number ka last digit pata kar ke us number ko yaad karne ki kosish kare jisse aapne apna facebook account open kiya tha…. aisa karne se sayad aapko apne facebook account ka pata lag jaye…….
Plz feedback de mera kho gya h
Mera feedback or report this profile save nahi ho raha hai plz save karna Hai ise
Aap jis option ki baat kar rahe hai wo kisi dusre ki id ko report karne ke liye hai na ki save karne ke liye….
good
agr aap ye chek karna chahttey hai ki aap koun report mar raha hai to aap
bilkul chek kar saktey hai
1 – aap agar fb lite use kartey hai aur usmey chek karna chatey hai ki report koun mara hai to aap sabsey pahley side ,m jo … dat diya rahta hai uspar click karkey
help ke option m jakar fir support inbox m jakar wahan se dekh saktey h ki reort koun kiya h
aur jo report kiya hoga wahan uska name hoga
aur aap wahan se report delete bhi kar saktey hai .
2 – same facebook m bhi wahin karna hai
ismey supoort inbox diya hoga ussey open karengey to
report koun kiya hai ye dikhayega
aur aap issey delete bhi kar saktey hai
Mujhe meri I’d ka password and number yaad hai but jis number or Gmail se bani thi wo av nhi hai or mujhe use open karne ke liye code maang rha hai kya koi other option nhi h kya open krne ke liye
Sir aap us mobile number ko phir se dobara apna documents submit karwa kar chalu karwa lijiye aur otp daal kar open kijiye….
Sir mere account main name ka ek word or date of worth ka ek galat hai.or ab kisi report karke mere I’d block karna di hai.ab meri I’d main San alag hai.aur Bo I’d maang the hai kya karoo
Sir aapke paas jo bhi document hai aap उसी document ko submit kijiye. Id ko phir se kholna ya naa kholna ye facebook ki team ke haaton me hai….
Sir G mera ek fb accoun ke email bhool gaya hai. Sir G aap bataye main kya karo. Help me. Please
Sir aap apne fb account me log in kijiye aur facebook account me add kiya gaya email address facebook account setting me jakar email id dekh lijiye.