Agar aapka facebook par koi Account hai, to aap apne smartphone me facebook messenger jarur istemaal karte honge. Messenger ki madad se aap supar fast speed me kisi dusre facebook user ke sath text chat kar sakte hai. Par aapne isme notice kiya hoga ki isme logout karne ka option nahi diya gaya hai. Aur isi wajah se kai log isme logout nahi kar paate. Aap chinta na kare, is post me iska hi solution bataya gaya hai.
Messenger me aur bhi kai suvidhaye uplabdh hai. Jaise ek dusre ko voice aur video call karna, game khelna, text chat ke dauran ek dusre ko stickers, GIFs emoji send karna doodle send karna etc. Sath hi iski madad se aap dusre facebook user ko photo aur video bhi send kar sakte hai. Mein pahle hi bata chuka hu ki facebook account ko sabhi devices se Remotely Log Out kaise kiya jata hai.

Facebook messenger ke sath sath kai log messenger lite app bhi istemaal karte hai jo size me bahut hi chota hai. Par indono me logout karne ka option upload nahi hai, jisse kai logo ko pareshani hoti hai. Aur unhe lagta hai ki ye dono app me logout nahi kiya ja sakta, par ye sach nahi hai. Is post me bataye gaye trick ki madad se aap dono hi app me bahut hi aasani se logout kar sakte hai.
- Facebook Par Stylish Text Me Message/Post Likhne Ke 5 Tarike.
- Whatsapp Par Stylish Aur Colorful Text Message Kaise Likhe.
Kai logo ke paas ek se jyada facebook I’d hota hai. Aur wo messenger me apna user name aur password enter kar ke login ho jate hai. Or phir chahte hai ki login kiye gaye I’d ko logout kar ke apna dusra facebook account istemaal kare. Par logout ka option upladh na hone ke kaaran wo aisa nahi kar paate.
Google ke play store par kai aise third party app maujood hai, jiski madad se aap messenger me logout kar sakte hai. Par is post me bina kisi third party application ki madad se messenger aur facebook lite app me logout karne ka tarika bataya hai. Agar aap apne facebook i’d ki security badhana chahte hai, to aap ye post read kare. Facebook i’d me 2 Step Verification Enable kaise kare.
Messenger Me Logout Kaise Kare
Aap chahe to apne facebook account ko Deactivate ya Delete kar sakte hai. Aisa karne se facebook messenger aur facebook lite app se aapka facebook account automaticaly logout ho jayega. Facebook messenger me logout karna bahut hi asaan hai. Iske liye jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. App post me bataye gaye trick ko apnaye aur bataye gaye step ko follow kare.
1 : Sabse pahle aap apne smartphone ki Setting me jaye, aur Apps ke option par click kare.
2 : Ab aapke smartphone me jitne bhi app hai wo yahan par show hoga. Aap Messenger par click kare.
3 : Ab niche me Storage ka option hoga uspar click kare.
4 : Last me aap Clear Data par click kare.
Lijiye ab aapne apna kaam successfully kar liya hai. Aap messenger application ko open kar ke dekh sakte hai. Aapka facebook account messenger se logout ho gaya hoga. Aur agar aap facebook lite app istemaal karte hai, to upar me bataye gaye same process ko apna kar isme bhi logout kar sakte hai.
Aasha karta hun messenger me logout karne ka tarika aapne sikh liya hoga. Agar upar me bataya gaya trick aapko achha laga ho to aap is post ko apne doston ke sath share kar sakte hai. Aur is post se sambandhit koi sawal hai to aap niche comment box me comment kar ke bataye. Aap facebook se jude dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai – Facebook.
Be the first to comment