Jab bhi koi user facebook par apna new account create karta hai, to us account me wo apna mobile number ya email address jarur add karta hai. Is post me bahut hi saral tarike se bataya gaya hai ki kaise aap apne facebook account se mobile number delete kar sakte hai.
Facebook account me add phone number ya email address I’d ki security ke liye hota hai. Account ko verify karna ho. Ya uss account ka password reset karna ho. Ya Two Step Verification enable karna ho. Iske liye phone number ya email address account me add karna hota hai.

Jab bhi aap account ka password bhul jate hai, to account me add phone number ya email address ki madad se aap bahut hi asaani se uska password reset kar sakte hai. Mein pahle hi bata chuka hu ki facebook account Delete kaise kiya jata hai.
Facebook Account Se Mobile Number Delete Karne Ki Jarurat
Jyadatar log I’d create karte samay apna personal mobile number ka istemaal karte hai. Aur I’d banate samay apna phone number ko hide nahi karte. Isse unka mobile number unka facebook friends dekh rahe hote hai. Ya facebook par publicly show ho raha hota hai.
Social media sites par apna personal jankari publicly karna aapke privacy ke liye achha nahi hai. Khash kar ke un girls ke liye jo apna personal mobile number facebook par public ya unknowns friends ko show karti hai.
Facebook apne user ko account se jude mobile number ya email address ko hide ( only me ) karne ki subidha deta hai. Sath hi agar aap chahe to aap apna mobile number apne facebook friends ko show kar sakte hai. Ya aap facebook par public kar sakte hai.
Aapka personal mobile number friends ya publicly show hone par kai log iska galat fayda uthate hai. Aur aapko pareshan karne lagte hai. Ye aapke privacy ke liye achha nahi hai. Isse bachne ke liye sabse asaan tarika ye hai ki aap apna phone number ko only me ( hide ) kar de. Ya uss account se hamesha ke liye delete kar de.
- Apne Facebook Account Ko Remotely Log Out Kaise Kare
- Facebook Account Me Two Step Verification Active Kaise Kare
Facebook Account Se Apna Mobile Number Kaise Hataye
Fb se mobile number delete karne ka tarika bahut hi asaan hai. Iske liye aap niche bataye gaye step follow kare.
NOTE : Facebook account se apna mobile number delete karne ke liye account me pahle se 2 phone number ya ek phone number aur ek email address add hona jaruri hai. Tab jakar aap apne fb account se mobile number remove kar payenge.
1 : Sabse pahle aap Facebook App open kare. Aur usme apna user name aur password enter kar ke Log In kar le.
2 : Ab aap right side me diye gaye Menu button aur phir left side me diye gaye apne Name par click kare.
3 : Edit Profile par click kare.
4 : Scrool down kar ke niche aaye. Aur Edit Your About Info ke option par click kare.
5 : Contact Info ke Edit option par click kare.
6 : Remove Mobile Phones In Account Settings par click kare.
7 : Mobile Number ke niche diye gaye Remove par click kare.
Last me aapse aapke facebook account ka password enter karne ko bola jayega. Aap apne facebook account ka Password enter kare. Aur last me Remove Phone par click kar de.
Agar upar me bataye gaye step ko follow karne me koi pareshani aa rahi hai. Aur aap kisi kaaran was facebook se phone number remove nahi kar paa rahe. To aap iss post ko read kare fb account me Phone Number Ko Hide kaise kare. Aap iss post ko read kar ke facebook par apna mobile number chupa sakte hai.
Aasha karta hu aapko mera ye post facebook se mobile number delete kaise kare post pasand aaya hoga. Aap facebook se jude dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai. Facebook.
Hi my loved one! I want to say that this article is amazing,
nice written and come with almost all vital infos. I’d like to
look extra posts like this.
ye acha hai shabash