Kisi dusre website ka email address kaise jane. Kisi bhi site owner se contact karne ke liye aamtaur par log site par diye gaye contact us form, unke social media pages ya unke site par diye gaye contact number par call kar ke sampark karte hai.
Kai aise website hai jo apna email address public nahi karte. Or agar koi unhe email send karna chahe to unhe site par diye gaye contact us form ka sahara lena पड़ता hai. Aap chinta na kare. Aaj ke is post me website ka email address janne ka aasaan tarika bataya gaya hai. Aap is tarike ko apna kar lagbhag sabhi popular blog/website ka email or domain email address kuch hi minute me find kar sakte hai. Aur sath hi aap chahe to uss email par email send kar sakte hai.
Kai famous website owner apne website par custom email address istemaal karte hai. Or wo apna email public bhi karte hai. Example – [email protected] or [email protected] Par kai website owner hai jo apna email address apne visitors ke sath share nahi karte. Phir aise website ka email address find karna thoda muskil hota hai.
- Gmail Account Ko Hamesha Ke Liye Delete Kaise Kare.
- Email Send Kaise Kare, Email Kaise Bheja Jata Hai.
विषय-सूची
Kisi Dusre Website Ka Email Address Pata Karne Ki Jarurat
Lagbhag har internet user ke paas ek email account hota hi hai. Agar aapke paas pahle se email account hai to achhi baat hai. Or agar aapke paas pahle se email account nahi hai to aap Gmail Account Kaise Banaye par click kar ke sikh sakte hai aur sath hi bana bhi sakte hai.
Internet par maujood kisi website ke bare me jyada kuch janne ya us website ke sath kaam karne ke liye agar aap uska email address janna chahte hai, to aaj aapko is post me iski step by step jankari mil jayegi.
Website admin ya owner se sampark karne ke liye jyadatar log unke email address par email kar ke sampark karte hai. Agar aap bhi unme se ek hai. To aaj ka ye post aapke kaam ka ho sakta hai. Is post me bahut hi aasaan tarike se bataya gaya hai ki website ka email account kaise pata kiya jata hai.
- Blog Website Me DMCA Protection Kaise Add Kare.
- Custom CSS Code Blogger Blog Me Add Karne Ke 3 Tarike.
Website Or Domain Ka Email Address Kaise Pata Kare Ki Hindi Me Jankari.
Internet par kai aise website aur tools maujood hai, jo aapke is kaam me madad karegi. Aaj ke is post me Hunter website aur Chrome Extension se email pata karne ka step bataya gaya hai. Aap chahe to bataye gaye step ko follow kar sakte hai.
Hunter Website Se Email Address Pata Kare.
1 : Sabse pahle Hunter website par jaye. Aur Sign Up ya Log In kar le.
NOTE : Hunter site par log in karne ke baad hi kisi dusre blog/website ka email account dekh sakte hai. Agar aapne Hunter par pahle se account create nahi kiya hai to sabse pahle aap hunter par account create kar le.
2 : Box me uss blog/website ka URL( address ) enter kare jiska email account aap janna chahte hai.
3 : Search ki button par click kare.
4 : Ab aapko us blog/website ka Email Account niche me dikhai dega. Aap Sources par click kar ke ye jaan sakte hai ki ye email account kahan se aur kis page se liya gaya hai. Aur ye kis page ya article me add hai.
( NOTE ) Ye site sabhi blog/website ka email account show nahi karta.
Agar upar me bataye gaye step ko follow karne ya upar me diye gaye website se aap email find nahi kar pa rahe, to yahan par mein ek aur website ka link de raha hu. Aap chahe to is website ki sahayata le sakte hai. Whois.com
Chrome Extension Se Email Account Pata Kare
Yahan par mein google chrome browser ke liye ek extension ka link de raha hu. Ye extension aapko kisi bhi blog/website ka email account find karne me kuch had tak aapki sahayata kar sakta hai. Aap extension ko download karne ke liye yahan click kare. Email Hunter.
- Powered By Blogger Ko Blog Se Delete Kaise Kare.
- Blogger Ke Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye.
Aasha karta hun kisi dusre website ka email address kaise pata kare post aapko pasand aaya hoga. Agar aapko mera ye post pasand aaya ho, to aap is post ko social sites par share kar sakte hai. Or agar is post se sambandhit koi sawal hai, to aap comment box me comment kar ke puch sakte hai.
Be the first to comment