Google gmail account 2 step verification enable kaise kare. Account kisi bhi chiz ki security sabse jyada important hota hai. Agar hum baat kare internet duniya ki to aapne kahin na kahin account security aur account hacking word jarur suna hoga.
Account security matlab aap apne account ki security jitna jyada ho badhaye. Aur account hacking ka matlab kisi ka account hack ho jana. Aaj ke is post me main ye bataunga ki aap kaise apne gmail account 2 step verification ko enable kar ke apne account ki security badha sakte hai.
Internet par bahut se jagah par gmail account ki jarurat hoti hai. facebook, twitter ya other social media platform par koi account create karna ho ya koi website par sign up karna ho, ya blogger.com par khud ka koi blog banano ho, in sabhi jaghon par gmail account ki jarurat hoti hai.
- Google Gmail Account Ko Permanently Delete Kaise Kare.
- Deleted Google Gmail Account Restore Kaise Kare.
Kyunki gmail account ki madad se hi lagbhag sabhi log dusre blog website par dusre account create karte hai. Iska matlab gmail account bahut hi important hota hai. To jahir hai ki gmail account ki security jitna jyada ho sake utna badhaye jaye. Kahne ka matlab security mazboot kiya jaye.
Maan lijiye agar aapka gmail account hack ho jaata hai. To ab tak aapne us gmail account ki madad se jitne bhi social media account, blog/website create kiya hoga wo sab ke sab hack ho jayega. Isliye mera to yahi manna hai ki jitna jyada ho sake aap apne google gmail account ki security ko badhaye.
- Jio Sim Par Free Me Caller Tune Kaise Active Kare.
- Whatsapp Par Stylish Aur Colorful Text Message Kaise Likhe.
Google Gmail Account 2 Step Verification Kya Hai ?
Doston google account 2 step verification yaani ki aapko apne gmail account me log in karne ke liye aapko two step ko follow karna hoga. 1st step me aapko apna gmail email address ka user name or password enter karna hoga. Aur 2nd step me aapko google dwara send kiya gaya ek otp code enter karna hoga.
Ab aapke mann me ye sawal uth raha hoga ki ye otp code kya hota hai. Aur ye code kahan milega. To doston yahan par main aapko batata chalu ki jab aap 2 step verification ko enable karenge to aapko apna ek mobile number register karna hoga.
Aur jab bhi aap new device ya kisi new browser me aap apne gmail account me log in karenge to aapke dwara register mobile number par ek otp ( one time password ) code send kiya jayega. aapko us otp code ko enter karna hoga. Tab jakar aap apne google gmail account me log in ho payenge.
Google Gmail Account 2 Step Verification Enable Karne Ke Fayde
- Aapka gmail email address ki security badh jayegi.
- Kisi ko aapka gmail email address ka user name aur password maloom hone par bhi wo aapke account me log in nahi kar payega.
- Aapka email address lagbhag lagbhag puri tarah se safe hoga. Aur kisi bhi hacker ko aapka account hack karna bahut hi muskil hoga.
- Aab aapka gmail email address safe hoga, To is email ki madad se aapke dwara banaya gaya dusre account bhi safe honge.
- Koi bhi unknown person aapke account me log in karne ki kosis karega, To aapko pata chal jayega. Kyunki aapke mobile number par otp code aayega.
Google Gmail Account 2 Step Verification Ko Enable Kaise Kare
Kisi bhi account ka security sabse jyada important hota hai. Aur agar us account me security badhane ke option uplabdh hai. To bina deri kiye us security option ko enable kar lena chahiye. Maine niche me gmail email account ki security kaise badhaye iske baare me step by step bataya hai. Aap mere dwara bataye gaye step ko follow kar sakte hai.
1 : Sabse pahle aap gmail.com par jaye. Aur apna user name aur password enter kar ke apne gmail email account me login kare.
2 : Ab aap my account par click kare. Aur phir thoda scroll down kar ke thoda niche jaye. Aur signing in to google ke option me diye gaye 2-step verification par click kare.
3 : Ab ek pop up windows open hoga. Aap get started par click kare.
4 : Ab aapke account ka password enter karne ko bola jayega. Aap apna password enter kare. Aur phir next ki button par click kare.
5 : Ek new pop up windows page open hoga. Aap flag ke box me apna country select kare. Aur uske right side me diye gaye box me apna mobile number enter kare.
6 : How do you want to get code? isme aapse pucha ja raha hai ki aap otp code ko text message ke roop me prapt karna chahte hai ya phone call se. Isme aapko jo achha lage aap wo select kare. Jahan tak mera manna hai aap text message ko select kare.
7 : Aage ki step me new pop up windows open hoga. Aapke mobile number par ek 6 digit ka otp code gaya hoga. Aap otp code ko enter the code ke box me paste kar de. Aur next ki button par click kare.
8 : Last me aapko turn on ke option par click karna hai. Aap turn on ke option par click kare.
Lijiye aapne apna kaam successfully kar liya hai. Ab aapko kuch aur karne ki jarurat nahi hai. Ab aap jab bhi apne google email address me log in karenge to aapko apna user name aur password enter karne ke baad google dwara send kiya gaya digit ka otp code bhi enter karna hoga.
Mera hamesha yahi kosis rahta hai ki aaplogoko asan se asan tarika batau. Aaj ke is post me maine yahi kosis kiya hai. Aap gmail email account se related dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai – gmail account.
- Facebook Account Me 2 Step Verification Ko Active Kaise Kare.
- Facebook Account Permanent Delete Kaise Kare.
Aasha karta hun google gmail account 2 step verification ko enable ( active ) kaise karte hai post aapko pasand aaya hoga. Agar is post se related koi sawal ya sujhao hai, to aap niche diye gaye comment box me comment kar ke jarur bataye.
thanks for sharing this information have shared this link with others keep posting such information..
Howdy very cool site!! Guy .. Excellent .. Amazing .. I will bookmark your website and take the feeds additionally? I’m glad to find a lot of useful information here in the publish, we’d like develop more strategies on this regard, thank you for sharing. . . . . .
I am sure this article has touched all the internet users, its really really fastidious article on building up new webpage.|
My family members always say that I am wasting my time here at web, however I know I am getting experience daily by reading thes fastidious content.|