Google analytics account kaise banaye. Agar aap ek blogger hai, to aapko ye jarur janne ki jigyasa hogi ki daily, weekly, ya monthly aapke blog ya site par kitne visitor’s aate hai. Aur wo kis keyword search kar ke aapke blog par aate hai.
Blog website par najar rakhne ya yun kahen ki aapke blog website par traffic ki har activity dekhne ke liye aap “Google Analytics” ki sahayata le sakte hai. Ispar aap account bana kar aur Tracking Code apne blog par add kar ke apne site ki traffic ko dekh sakte hai.
Aur sath hi aapke visitors aapke site par kya chahte hai. Wo kis keyword se aapke blog par aate hai. Or wo kis tarah ke post sabse jyada pasand karte hai. Aap unke search kiye gaye keyword ko jaan kar, aur us topic par high quality post likh kar aap apne site par aur jyada traffic ( visitor’s ) badha sakte hai.
- Kisi Dusre Website Ka Theme Name Kaise Pata Kare.
- WordPress Blog Me Live Chat Widget Kaise Add Kare.
विषय-सूची
Google Analytics Kya Hai?
Ye ek google ka hi product hai, jo bilkul free hai. Iski madad se blog website owner apne site par aane wale traffic ( visitor’s ) ki har ek gatividhi real time me dekh sakte hai.
Site par real time me kitne visitor’s online hai. Visitor kis location se hai. Kis country se hai, kaun sa post padh raha hai. Aur visitor site par kitna second ya kitna minute raha ye sab ki jankari google analytics par mil jayegi.
Google Analytics Me Kya Kya Dekh Sakte Hai?
Jaisa ki mein upar me pahle hi kai information de chuka hu. Phir bhi yahan par short me kuch aur extra baaten bata deta hu. Jo aap google analytics par aasani se dekh sakte hai.
- Site par real time me total kitne visitor’s online hai.
- Visitor kya read kar raha hai. Matlab kaun sa post ya page read kar raha hai wo pata kar sakte hai.
- Visitor total kitna time site par raha.
- Bounce rate dekh sakte hai.
- Kis device me site ko open kiya hai. smartphone, tablet, ya computer etc.
- Kaun sa keyword search kar ke aaye hai.
- Visitor Kaun si language janta hai.
- Kis city ya country se hai.
- Kaun sa browser istemaal kar raha hai.
- Aapke site ko kis device me sabse jyada open kiya jata hai.
- New visitor’s kitne aaye aur total kitne purane visitor’s dobara aapke site ko visit kiya.
- Ek din ek month ya ek saal me total kitna page view hua.
- 1 din 1 week 1 month ya 1 saal me total kitne logo ne aapke site ko visit kiya.
- Kaun sa post kitna baar dekha gaya.
- Kaun sa post kis speed se open hota hai.
- Visitor kahan se aaya hai. Facebook, twitter, Google Plus, direct search engines se ya kisi dusre blog website se.
- Kis age ke log aapke site ko sabse jyada visit karte hai.
- Aapke site ko sabse jyada kaun visit karta hai, male ya female.
Aur bhi aise bahut se jankari aap google analytics ki madad se prapt kar sakte hai. Simple sabdon me bolu to aap google analytics ki madad se aap apne visitor’s ko aur aap apne site ko aur bhi achhe se jaan sakte hai. Aur achhe se jaan kar apne site ko aur bhi behtar bana sakte hai.
Google Analytics Par Account Kaise Banaye
Blog website ke liye ye account banana bahut hi aasaan hai. Is post me meine bahut hi saral tarike aur vistaar se bataya hai. Aap chahe to mere bataye gaye step follow kar sakte hai.
STEP 1 :
1 : Sabse pahle aap analytics.google.com/ site par jaye.
2 : Sign Up ke option par click kare.
STEP 2 :
1 : Gmail Account enter kare.
2 : Email account ka Password enter kare.
STEP 3 :
Ab yahan par aapko kuch jankari deni hai. Niche meine bataya hai ki kaun si jankari kahan enter karni hai.
1 What Would You Like To Track? : Website select kare.
2 Account Name : Apna ya apne blog ka name likhe.
3 Website Name : Blog name likhe.
4 Website Url : Agar aapka blog https:// ke sath open hota hai, to aap https:// select kare. Nahi to aap http:// chune.
5 : Industry Category : Blog category select kare.
6 : Reporting Time Zone : Apna country chune.
7 : Data Sharing Settings : Isme diye gaye sabhi box ko tick kare.
8 : Get Track Id : Ke option par click kare.
STEP 4 :
ab ek new pop up window open hogi. aap usme apna country select kare. aur usme google analytics use karne ka terms and conditions likha hoga. aap use achhe aur dhyan purbak padh le.
1 : Country select kare.
2 : I accept ke option par click kare.
Aap jaise hi i accept ke option par click karenge aap google analytics ke dashboard me pahuch jayenge. Ab aapko ek Tracking Code mila hai, jise aapko apne Blog me add karna hai. aap tracking code copy karne ke liye Admin >>>> Tracking Info >>>> Tracking Code par click kare.
Google Analytics Code Blog Me Kaise Add Kare?
Agar aapka blog wordpress par hai, to aap mere is post ko read kare. WordPress blog me Google Analytics Code kaise add kare. Aur agar aapka blog blogger.com par hai, to aap niche bataye gaye step follow kare.
1 : Sabse pahle Blogger Dashboard me jaye.
2 : Settings >>>> Other par click kare.
3 : Analytics Web Property ID ke box me Tracking ID paste kare.
4 : Save Settings par click kar ke save kar de.
Aapne tracking code blog me successfully add kar liya hai. Ab aapko kuch aur karne ki jarurat nahi hai. Ab aap chahe to apne site ki jankari analytics dashboard me jakar dekh sakte hai.
Google Analytics Par Blog Website Visitor’s Aur Dusri Jankari Kaise Dekhe
1 : Aapke blog website par live total kitne visitor’s online hai, wo dekhne ke liye aap google Analytics Dashboard me jaye.
2 : Real Time >>>> Overview ke option par click kare.
Ab aapke blog website par total kitne visitor’s online hai wo dekh sakte hai. Aur sath hi kitne visitor’s mobile device aur jitne visitor’s computer device me aapke site ko open kar rakha hai wo bhi live dekh sakte hai.
Sath hi aap dusre jankari jaise Bounce Rate, Organic Search, Direct Search, All Traffic, Paid Search, Referral, Social, All Pages, Site Speed, Browser, Language, Location, New Vs. Returning etc ki jankari dekh sakte hai.
Mujhe ummid hai aapko mera ye post google analytics account kaise banaye post aapko pasand aaya hoga. Aap blogging se jude dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai – Blogging.
Very nice article bro