India me help par aapka swagat hai. Agar aapke paas koi feature phone ya aapke paas koi smartphone hai. Aur aap uss mobile ko format karna chahte hai, to aap bilkul sahi post par hai. Aaj ke is post me ye bataya gaya hai ki Mobile Format Kaise Kare.
Aaj ke is post me hum ye janenge ki mobile ko format kyun karna chahiye. Aur mobile ko format ( Factory Data Reset ) karne ke fayde or nuksan kya hai. Hamare is website par pahle hi bataya gaya hai ki android mobile se Duplicate Files Delete kaise kiya jata hai.
Chahe aapke paas Samsung, Nokia, Micromax, Vivo, Oppo, Xiaomi, Asus, Motorola, LG, Xolo, Honor, Panasonic, Gionee, Realme, Infinix ya koi aur company ka android mobile ho. Aap post me bataye gaye tarika se aap apna mobile reset kar payenge.
Aap is post me bataye gaye step ki madad se apna feature phone ya smartphone bahut hi asani se ghar baithe bina kisi computer ke format kar payenge. India Me Help par pahle hi bataya ja chuka hai ki 1 Mobile Me 3 Whatsapp Account kaise chalaye jata hai.
- Whatsapp Par Stylish Aur Colorful Text Message Kaise Likhe
- Facebook Par Stylish Text Me Message Post Likhne Ke 5 Tarike
विषय-सूची
Mobile Format Karne Ki Jarurat
Phone ko Factory Data Reset karne ke bhut se kaaran ho sakta hai. Niche kuch karan bataya gaya hai, jo aap dekh sakte hai. Adhikansh mamlon me phone ko reset karne ka yahi sab kaaran hota hai.
- Phone memory me save kiya gaya files jaise app, game, mp3, image, video files ek sath delete karna chahte ho.
- Apna Mobile kisi ko sell ya gift karna chahte ho.
- Phone me virus ka hona.
- Mobile me low memory ka message show hona.
- Phone ke software/hardware me problem aa jana.
- Mobile me save sabhi account facebook, whatsapp, twitter, gmail ityaadi account delete karna chahte ho.
- Phone Ki settings ko default setting karna chahte ho.
- Mobile me maujood ram/rom ko free karna chahte ho.
Aur aise bahut se kaaran hai jiski wajah se log apna Mobile ko reset/format karte hai. Reset karte hi user ka mobile se sabhi tarah ke save kiya gaya Data, Settings, aur yun bole ki files puri tarah se delete ho jata hai. Aur unka mobile phir se istemal karne ke liye ready ho jata hai.
- Facebook Par Ulta Text ( Upside Down Text ) me Kaise Likhe
- Ek Click Me Sabhi Gmail Email Delete Kaise Kare
Factory Data Reset Karne Se Kya Kya Delete Hoga
Agar aap apne phone ko reset karna chahte hai to sabse pahle aapko ye bhi jaan lena chahiye ki aisa karne se kya kya delete hoga. Phone ko reset/format karne se niche bataya gaya sabhi chizen aapke phone se puri tarah se delete ho jayega.
- Picture
- Music
- Video
- Downloaded Apps And Games
- Settings
- Contact Number
- System And App Data
- Google Account
- All Other User Data
- Service Provider Apps And Content
- All Downloaded Files
( Note ) Yahan par aapko batata chalu ki mobile ko format marne se pahle upar me bataye gaye important files me se apne jarurat ke files ko apne memory card me Move ya Copy jarur kar le.
Mobile Ko Format/Reset Kaise Kare
Lagbhag sabhi mobile ko Format/Reset/Factory Data Reset/Restore Factory Settings karna bahut hi asaan hai. In sabhi ka matlab ek hi hai. Phone ko reset yaani ki format karna. Example ke liye is post me samsung mobile ka bataya gaya hai.
Lagbhag sabhi android smartphone aur feature phone ka process ek hi hai, jo is post me bataya gaya hai. Aap post me bataye gaye step ko follow kar sakte hai.
A : Sabse pahle Phone ki Settings me jaye.
B : Ab aap General Management par click kare.
C : Reset option par click kare.
D : Factory Data Reset ke option par click karen.
C : Reset ke option par click kare. Ab yahan par agar Password Enter karne ko bolta hai to apne mobile ka Password Enter kare, aur Ok ki button par click kare.
Ab aap kuch minutes intezaar kare. Aapka phone format/Reset hone ke baad puri tarah se istemal karne ke liye ready ho jayega.
Android Mobile Format Kaise Mare
Agar aapke paas ek android smartphone hai. Aur aapke phone me upar me bataye gaye option nahi mil raha to aap niche bataye gaye step ko follow kare.
A : Mobile ki Settings me jaye.
Settings ko open karte hi sabse upar me ek search box open hoga.
B : Search box me Reset, Erase All Data, ya Factory Reset likh kar search kare.
Aap jaise hi upar me bataye gaye word likh kar search karenge aapke samne Erase All Data, Factory Data Reset, Factory Reset ka option dikhai dega. Inme se show ho rahe option par aap click kar ke upar me bataye gaye step follow kar sakte hai.
Feature Phone Ko Format Kaise Mare
Is phone ko format karna aur bhi asaan hai. Iske liye aap niche bataye gaye step ko follow kare.
A : Phone ki Settings me jaye.
B : Sabse niche diye gaye option Restore Factory Settings par click kare.
3 : Input phone password me phone ka Password enter kare, aur Ok ki button par click kare.
Ok option par click karte hi aapka feature phone format hona start ho jayega. Yahan par aapko kuch time intezar karna hai.
- Gmail Account Delete Kaise Kare
- Email Send Kaise Kare – Email Kaise bheje
- Saving Or Current Account Me Kya Different Hota Hai
- Voter I’d Card Me Name Address Change Kaise Kare
Umid karta hu india me help par publish ye post Mobile format kaise mare post aapko pasand aaya hoga. Aap jio phone ko format karne ke liye yahan click kar sakte hai – Yahan Click Kare.
kishor ji namskar
hamare google serch console me (Indexed, though blocked by robots.txt) yah massage aa raha hai eska hame koi samadhan bataye .
thanking you
Namaskar….. sir aap is post ko follow kijiye blog me custom robots.txt file kaise add kare