Paytm se bank account mei paise transfer kaise kare. Paytm app ek bahut hi popular app hai. Iski madad se aap online shopping kar sakte hai. Sath hi paytm wallet ki madad se aap apne bank me paise transfer kar sakte hai. Paytm se bank me paise ( money ) transfer kaise kare. Aaj ke is post me ham vistaar se aur step by step yahi janne wale hai.
India me paytm users ki sankhya karodon me hai. Paytm digital len-den kahne ka matlab cashless len-den karne ke liye ek bahut hi achha vikalp hai. Waise aur bhi kai app hai jiski madad se cashless len-den kiya ja sakta hai. Example – bhim – making india cashless, phonepe, tez etc. India me demonetization ke baad paytm ko khasha istemal kiya ja raha hai. Aur user ise khasha pasand bhi kar rahe hai.
Chahe parchun ki dukan ho. Ya koi shopping mall. Ya koi school ya collage paytm ki madad se aap kisi ko bhi kahin bhi paise pay aur receive kar sakte hai. Iski madad se aap apne prepaid mobile, data card, dth, online ticket booking, bill payment, ghar baithe kar sakte hai. Samay samay par paytm me cash back ka offer bhi hota hai. Jo paytm ko khash banata hai.
- Saving Aur Current Account Me Kya Different Hota Hai.
- Whatsapp Par Stylish Aur Colorful Text Messages Kaise Send Kiya Jata Hai.
Paytm Wallet Se Kitne Rupye Transfer Kiya Ja Sakta hai.
Paytm me 2 tarah ki service uplabdh hai. 1st paytm wallet aur 2nd paytm bank account. Paytm wallet ki ek limit hai. Paytm wallet ki madad se aap apne bank account me 50 se 5000 rupaye tak transfer kar sakte hai. Aur agar aap apna paytm bank account open kar rakha hai to aap paytm bank account se RS 20000 se bhi adhik rupaye ek din me transfer aur receive kar sakte hai.
Note : Agar aap paytm se bank account mei paise transfer karna chahte hai to niche bataye gaye baaton ko dhyan se padhe.
- Aap jis bank account me paise transfer karna chahe hai chahe wo aapka khud ka ho ya kisi aur ka us account ka account number, account holder name aur us bank ka IFSC CODE aapke paas hona chahiye.
- Transfer kiya gaya paisa transfer hone me 24 se 48 ghante tak ka samay lag sakta hai. Halaanki 99% mamlon me paisa turant transfer ho jata hai.
- Wallet se bank account me paise transfer karne par paytm paise transfer karne ke charge ( fees ) leta hai.
- Aap apne paytm wallet account me maujood total balance se kam paise hi transfer kare example – agar total Rs 100 hai to aap 90 hi transfer kare.
- Aap RS 50 se 5000 rupaye tak transfer kar sakte hai.
Paytm Se Bank Account Mei Paise Transfer Kaise Kare
Aap apne paytm wallet account se apne bank account me bahut hi aasani se paise transfer kar sakte hai. Aapko bas paytm app ki jarurat padegi. To aayiye dekhe ki paytm se bank me paise deposit kaise kiya jata hai. Aap mere bataye gaye step ko follow kare. Maine niche me step by step bataya hai.
Paytm Se Bank Account Mei Paise Transfer Karne Ka Tarika Hindi Me
Step 1 :
1 : Sabse pahle aap apna paytm app open kare. Aur apne paytm account me log in kar le.
2 : Ab aap passbook par click kare.
3 : Ab aap wallet >>>> send money to bank >>>> aur phir transfer ke option par click kare.
Step 2 :
Ab aapke samne ek form open ho jayega. Aapko isme kuch jankari enter karni hai.
1 : Account number – Isme aap apna bank account number enter kare.
2 : Account holder’s name – Isme aap jiska bank account hai uska name likhe.
3 : Ifsc code – Isme bank ka ifsc code enter kare. Ifsc code enter karne ke baad right side me diye gaye verifi option par click kar ke ifsc code ko verified jarur kar le. Aap is link par click kar ke apne bank ka ifsc code search kar sakte hai. ifscswiftcodes.com.
4 : Amount – Kitna rupaye transfer karna chahte hai, wo enter kare.
5 : Description ( optional ) – Me aap paise kyun send kar rahe hai wo likhe. Aap chahe to ise aise hi empty rahne de sakte hai.
6 : ab aap niche diye gaye proceed ke option par click kare.
7 : Ab aapse bank account number confirm karne ko bola jayega. Aap bank account number ko phir se enter kare. Aur proceed ke option par click kare.
8 : Ab aapse confirm karne ko bola jayega. Aap confirm ke button par click kare.
Lijiye aapne successfully apne paise apne bank account me transfer kar liye hai. Ab aapko kuch aur karne ki jarurat nahi hai.
Mera hamesha yahi kosish rahta hai ki jitna ho sake saral se saral tarike se step by step batau. Aaj ke is post me maine yahi kosis kiya hai. Aasha karta hu aapko mera ye post paytm se bank account mei paise transfer kaise kare post aapko pasand aaya hoga. Aur agar is post se related koi sawal ya sujhao hai, To aap niche diye gaye comment box me comment kar ke bata sakte hai.
first comment, yeeey!