Aaj ka ye post unn wordpress beginner blogger ke liye hai, jo apne wordpress blog me plugin install ya cpanel account me plugin upload karna chahte hai. Is post me isi ke bare me step by step bataya gaya hai.
Blogging karne ke liye mujhe wordpress platform bahut pasand hai. Kyunki ispar aap ek kaam ko kai tariko se kar sakte hai. Udaharan ke liye is post ko hi le lijiye. Is post me wp blog me plugin install karne ke total 3 tarike bataya gaya hai.
Hosting account par wordpress ko install karne ke baad usme settings karna hota hai. Aur phir usme kuch new features add karne ke liye apni jarurat ke hisab se plugins install kar ke active karna hota hai.

Agar aap wordpress par new hai. Aur agar aapko coding ki achhe se jankari nahi hai, to aapko chinta karne ki koi jarurat nahi hai. Aap bina coding sikhe ( jane ) bhi apne blog par apne jarurat ke hisab se plugin install kar ke aur use active kar ke blog par extra feature add kar sakte hai.
- WordPress Blog Me Theme Install/Upload Karne ke 3 Tarike
- Old Post Revisions Delete Kaise Kiya Jata Hai
Plugin Kya Hota Hai ?
Ye chote chote codes ka ek samuh hota hai. Aur ye size me bahut hi chota hota hai. Ise blog par install kar ke active karne se blog me ek new feature add ho jata hai.
Android smartphone ke liye jaise android application hota hai. Application ko add karte hi ek new feature smartphone me add ho jata hai. Thik waise hi wordpress blog ke liye plugin hota hai.
Blog owner’s apne need ( jarurat ) ke hisab se ise blog par install kar ke active karte hai. Aur blog par new features add karte hai. Adhikansh plugins ka update bhi samay samay par aate rahta hai.
Blog Par Plugins Istemal Karne Ke Fayde
Blogger ( blogspot ) blog par new feature add karne ke liye coding ya gadget ka sahara lena पड़ता hai. Thik waise hi hosting account par install wordpress blog me koi new feature add karne ke liye coding ya plugins ka sahara liya jata hai.
Chahe blog ka bachup lena ho. Ya blog ko speedup karna ho. Blog ko SEO Friendly banana ho, Favicon Icon add karna ho, https enable karna ho, ya post images ko compres karna ho. Aap apne jarurat ke hisab se apne blog par plugin install aur active kar ke without coding sikhe ya jane upar me bataye gaye etc kaam bahut hi asaani se kar sakte hai.
- Blogger Blog Me Youtube Subscribe Button Kaise Add Kare
- Blog Website Par Broken Link Check Aur Remove Kaise Kare
WordPress Blog Me Plugin Install Kaise Kare
NOTE : Agar aapka blog wordpress.com par hai, to aage bataya gaya step aapke liye nahi hai. Bataya gaya step jinka blog self-hosted hai yaani ki wordpress.org par hai unke liye hai.
TARIKA NUMBER 1
STEP 1
1 : Sabse pahle WordPress Dashboard me jaye.
2 : Plugins aur phir Add New par click kare.
Ab aapke samne kai option aa jayega. Aap apne jarurat ke hisab se option par click kare. Aur phir chose kar ke plugin Select kar sakte hai.
3 : Aap jis plugin ko apne blog par istemal karna chahte hai, uska name likh kar search box me Search kare.
4 : Plugin milne par Install Now par click kare.
5 : Download hone ke baad Activate par click kare.
TARIKA NUMBER 2
Agar aapne kisi plugin ko kisi trusted website se buy kiya hai, ya free me download kiya hai. Aur aap use apne blog par upload karna chahte hai, to aap use apne wordpress dashboard me jakar upload kar sakte hai.
1 : WordPress Dashboard me jaye.
2 : Ab aap Plugins >>>> Add New aur phir Upload Plugin ke option par click kare.
3 : Chose File par click kar ke apne computer ya smartphone device se uss zip file ko Select kare. Aur Install Now par click kare.
4 : Ab last me aapko ise activate karna hai. Upload hone ke baad aap plugins me jaye aur Activate ke option par click kar ke active kar de.
TARIKA NUMBER 3
Ye tarika us time kaam aata hai jab aap kisi wajah se kisi plugin ko wp dashboard me direct upload nahi kar paa rahe ho. Ya aap jis plugin ko apne blog par istemal karna chahte ho wo dashboard me uplabdh na ho. Aapko jankari ke liye bata du ki Jyada bada size ka plugin direct wp dashboard me upload nahi hota.
Aisi situation me aap kisi trusted site se apne manpasand plugin ko download kar ke aap manually apne cpanel account me upload kar sakte hai.
1 : Sabse pahle aap apne Cpanel Account me Log In kare.
2 : Files me diye gaye Files Manger par click kare.
3 : Home >>>> Public_Html >>>> Wp_Content >>>> Plugins >>>> Upload ke option par click kare.
4 : Choose File ke option par click kare. Aur apne computer se us download kiye gaye plugin ko Select kare.
5 : Upload hone ke baad niche diye gaye Back to /Home/Name/Public_Html/Wp-Content/Plugins ke option par click kare.
6 : Upload kiye gaye zip file ko Select kare. Aur Extract ke option par click kar ke file ko extract kare. Aur last me upload kiye gaye zip file ko delete kar de.
7 : Ab last me aap wp dashboard me jaye aur plugin ko Activate kar le.
- WordPress Blog Me Live Chat Widget Kaise Add Kare
- Adsense Account Me Policy Violation Kahan Ho Raha Kaise Jane
bahut he badiya article likha hai apne thanks.
its very very helpfup