Saving aur current account kya hota hai. Aur dono account me kya different hai. Bank account hona aaj har person ki jarurat hai. India me jab se pradhan mantri jan-dhan yojna ki suruat hui hai. Tab se lekar aaj tak garib se garib aur amir se amir person ke paas apna khud ka bank account hai. Chahe bank account koi government bank me ho ya private bank me lagbhag sabhi ke paas khud ka ek bank account hota hi hai.
Aap jab bhi kisi atm me apne atm card ki madad se paise nikalne jaate hai. To aapne gaur kiya hoga ki account se paise nikalne se pahle aapka bank account kis prakar ka hai. Saving account ( bachat khata ) ya current account ( chalu khata ) ye pucha jata hai. Aaj ke is post me ham yahi janne wale hai ki saving aur current account kya hota hai aur in dono account me different ( antar ) hota hai.
Bank account to lagbhag sabhi ke paas hota hai. Par saving account aur current account me kya different hota hai. Ye jankari thik se bahut kam logo ko hi pata hota hai. Jaisa ki maine upar me 2 tarah ki bank account ka name liya hai. 1st saving account is account ki kuch simaye aur khubiya hota hai. Aur 2nd current account ki bhi kuch simaye aur khubiya hota hai. Aaj ke is post me maine in dono account ke baare me bahut hi vistaar se bataya hai. Jo aap niche read kar sakte hai.
- Facebook Account Me 2 Step Verification Active Kar Ke Facebook Account Ki Security Kaise Badhaye.
- Facebook Account Permanent Delete Kaise Kare.
Saving Aur Current Account Kya Hota Hai Aur In Dono Account Me Kya Different ( Antar ) Hota Hai.
Agar aapka kisi bank me koi bank account hai. To mujhe lagta hai ki aapko apne khate se judi jankari rakhni chahiye ki aapka khata kis category ka hai. Aur aapke khate ki kya limit aur khubiya hai. To is post ko aur jyada lamba na karte huye aayiye jaante hai.
Saving Account ( Bachat Khata ) Kya Hota Hai, Aur Iske Kya Fayde Hai
- Jaisa ki name se hi pata chal jaata hai ki ye account aapke paise ki saving ( bachat ) karega.
- Is account me aapko apne account me sesh pade paise ke hisab se interest milta hai.
- Interest rate har bank ka alag alag hota hai. Koi bank jyada interest deta hai to koi kam. Jyadatar bank lagbhag 4% se lekar 6% tak interest rate dete hai.
- Saving account me minimum balance rakhne ki ek limit hota hai.
- Private aur government bank sab apne apne hisab se apne customer ko minimum balance rakhne ki suvidha dete hai.
- Agar kisi customer ke account me set kiye gaye limit se kam balance hota hai. To bank us customer ke account se paise charge karti hai.
- Private bank jaise icici, hdfc, axis bank me minimum balance ki limit jahan 2500 se 25000 tak hai.
- Government bank me iski limit 500 se 2500 tak hai.
- Saving account me free me ek month me limited transaction karne ki suvidha di jaati hai.
- Aur agar koi customer monthly free transactions ki limit se jyada transaction karta hai to bank extra charge karta hai.
- Students ke liye pradhan mantri jan-dhan yojna ke tahat open kiye gaye account me zero balance rakhne ki bhi suvidha di jaati hai.
- Is account ko individual aur joint dono tarah se open kiya ja sakta hai.
- Isme check book, atm card, debit card, internet, sms, aur mobile banking ki bhi suVidha milti hai.
- Isme se jyadatar sevaye free hai. Par kuch sevayo par bank fees le sakta hai.
Current Account ( Chalu Khata ) Kya Hota Hai Aur Iske Kya Fayde Hai ?
- Current account saving account se bilkul different hota hai.
- Ye khata businessman ke liye hota hai.
- Isme ek din ya ek month me transactions karne ki koi limit set nahi hota. Translation karne ki limit unlimited hota hai.
- Bank is current account me पड़े balance par koi interest nahi deta.
- Unlimited translations karne ki suvidha is khate me is liye diya jata hai taaki business karne wale businessman ko unke business me koi rukawat na aaye.
- Account owner khate me पड़े balance se jyada balance nikal sakte hai.
- Current account me पड़े shesh balance se kitna jyada balance nikala ja sakta hai ye baat account owner ke turnover aur munaafa dekh kar bank nirdharit karta hai.
- Current account koi bhi person niji roop se ya संजुक्त एकाउंट ke roop me open kar sakta hai.
- Kisi company, trust, sansthan, sosayati etc dwara current account open kiya ja sakta hai.
Voter I’d Card Me Ghar Baithe Name Address Change Kaise Kare.
Whatsapp Se Deleted Messages Restore Karne Ke 3 Tarike.
Mera Hamesha yahi kosis rahta hai ki aaplogoko ke samne sabhi pahlu ko rakhu. Aur jitna jyada vistaar se ho batau. Aaj ke is post me maine yahi kosis kiya hai. Aasha karta hu aapko mera ye post saving aur current account kya hota hai aur in dono account me kya different hota hai post aapko pasand aaya hoga. Aur agar is post se related koi sawal ya sujhao hai. To aap niche diye gaye comment box me comment kar ke bata sakte hai.
Thanks for shaing this information.Have shared this link with others keep posting such information..
thanks for sharing this information have shared this link with others keep posting such information..
I love what you guys tend to be up too. This sort of clever work and exposure! Keep up the amazing works….
आपने अलग अलग बैंक accounts के बारे में काफी अच्छे से बताया। लोगो को इस पोस्ट को जान क़र बैंक accounts खुलवाने में मदद मिलेगी।
मेने भी एक पोस्ट इसी टॉपिक पर लिखी है।
SABSE PAHLE THANK YOU…. AUR AASHA KARTA HU AAPKA POST LOGO KE LIYE AUR BHI JYADA HELPFUL HOGA…..