Apna mobile recharge karna ho. Ya apne family, friends ya kisi jaan pahchan ke logo ko apna contact number dena ho. Iske liye hame apna mobile number yaad hona chahiye. Par kai baar aisa hota hai ki hum koi new sim card buy karte hai, aur uss sim ka number bhul jate hai.
Aaj ke iss bhag daur bhare zindagi me new buy kiye gaye sim ka number yaad rakhna thoda muskil kaam hai. Iss post me india ke top telecom company’s jaise Idea, Vodafone, Airtel, Tata Docomo, Jio, Reliance, Telenor, Videocon aur Bsnl Sim Card Ka Number kaise jane iske bare me bataya gaya hai.
Iss post me mobile number nikalne ke tarike bataya gaya hai. Post me important USSD Code diya gaya hai. Sath hi aur tarike bataya gaya hai. Jiski madad se aap apna khud ka sim number nikal/pata kar sakte hai.
- Voter I’d Card Me Name Address Change Kaise Kare
- Android Mobile Se All Duplicate Files Delete Kaise Kare
विषय-सूची
- Apna Sim Number Kaise Jane/Pata Kare
- Airtel Number Kaise Nikale
- Jio Number Kaise Nikale
- Idea Number Kaise Pata Kare
- Vodafone Number Kaise Jane
- Bsnl Number Kaise Nikale
- Tata Docomo Number Kaise Pata Kare
- Reliance Number Kaise Nikale
- Telenor Number Aise Pata Kare
- Aircel Number Aise Pata Kare
- Videocon Number Aise Jane
Apna Sim Number Kaise Jane/Pata Kare
Niche Airtel, Jio, Idea, Vodafone, Bsnl, Tata Docomo, Reliance, Telenor, Aircel, Videocon sim ka number check karne ka USSD Code diya gaya hai. USSD Code ki madad se aap apna sim number check kar sakte hai. Iske liye aapko apne mobile me niche diya gaya USSD Code enter karna hoga.
USSD Code se mobile number check karne ke liye aapko apne mobile me balance ki jarurat nahi hogi. Chahe aapke mobile me main balance ho ya na ho, aap bilkul free me USSD code enter kar ke apna sim number nikal sakte hai. Iske liye aapke mobile me ek bhi paisa cut nahi hoga.
Agar aapke paas sim number nikalne ka koi aur tarika hai. Ya aapke paas aapke circle ka new USSD Code hai, to aap niche comment box me comment kar ke jarur bataye. Taki dusre logo ka help ho sake. Aur wo log bhi aapke dwara diya gaya ussd code ki madad le sake.
NOTE : Niche diya gaya USSD Code area/circle ( क्षेत् ) ke hisab se work karta hai. Isliye agar ek USSD Code work na kare, to aap dusra code try kar sakte hai. Aur jo code work kare aap uss code ko apne notepad me likh kar rakh sakte hai. Aisa karne se next time aapko apna mobile number pata karne me asani hoga.
Airtel Number Kaise Nikale
Niche diya gaya USSD Code airtel sim se dial kare
- *1#
- *140*175#
- *141*123#
- *282#
- *140*1600#
- *121*9#
- *400*2*1*10#
Jio Number Kaise Nikale
Niche total 3 tarike bataya gaya hai. Aapko jo tarika sabse asaan lage aap wo tarika apna sakte hai.
1 : USSD Code Ki Madad Se Jane
- *1#
- *580#
2 : 1299 Par Miss Call Dekar Jane
Iske liye aapko apne jio mobile se 1299 number par call karna hai. 1299 dial karte hi call automatic disconnect ho jayega. Aur aapke mobile ke message box me ek text message aayega. Usme aapka jio Mobile Number, Data Balance or Sms balance likha hoga.
3 : MyJio App Se Jane
Google ke Playstore me jaye. Aur wahan se MyJio App ko apne mobile me download aur install kar le. App ko install karne ke baad open kare. Home page par my account ke niche aapka jio number show hoga.
Idea Number Kaise Pata Kare
Apne idea mobile ka number janne ke liye niche bataye gaye 3 tarikon me se koi bhi ek tarika apna sakte hai.
1 : USSD Code Dial Kar Ke Pata Kare
Mobile me idea sim hone par niche diya gaya code dial kare. Aur ek code work na kare to dusra code try kare. Code dial karne se aapka idea sim ka number aapke mobile par aa jayega.
- *1#
- *125*9#
- *100#
- *789#
- *131*1#
- *147*2*4*#
- *147#
- *131#
- *616*6#
- *121*4*6*2#
- *147*1*3#
- *147*8*2#
2 : Customer Care Me Call Kar Ke Jane
Upar me diya gaya code work na kare, to aap customer care me call kar ke aur customer care se baat kar ke apne idea mobile ka number puch sakte hai.
- 121
- 198
3 : Balance Loan Le Kar Aur Kisi Dusre Mobile Par Call Kar Ke Jaan Sakte Hai
Main balance loan lene ke liye niche diya gaya code apne mobile idea sim se dial kare.
5 Rupees | *150*05# |
10 Rupees | *150*10# |
20 Rupees | *150*20# |
Vodafone Number Kaise Jane
Agar aapke paas vodafone ka sim hai, to aap niche diya gaya ussd code vodafone sim se dial kare.
- *555*0#
- *555#
- *777*0#
- *131*0#
- *111*2#
Bsnl Number Kaise Nikale
Agar aapke paas bsnl ka sim card hai, to niche diya gaya ussd code apne bsnl sim se dial kare.
- *1#
- *222#
- *99#
Tata Docomo Number Kaise Pata Kare
Docomo user niche diya gaya code dial kare
- *1#
- *888#
- *580#
- *124#
Reliance Number Kaise Nikale
- *1#
- *111#
Telenor Number Aise Pata Kare
Agar aapke paas telenor company ka sim hai to diya gaya code dial kare.
- *1#
- *555#
Aircel Number Aise Pata Kare
Aircel user niche diya gaya ussd code dial kare.
- *1#
- *131#
- *888#
- *234*4#
- *122*131#
Videocon Number Aise Jane
Videocon user niche diya gaya code dial kare
- *1#
Upar me bataye gaye USSD Code ke dwara sim number pata kar sakte hai. Aur agar kisi wajah se Ussd Code work na kar raha ho, aur agar aapke mobile me balance hai to aap kisi aur mobile me call kar ke apna mobile number dekh sakte hai.
Ise Bhi Read Kare
- Idea Sim Par DND ( Do Not Disturb ) Active Kaise Kare
- Whatsapp Hack Hone Se Kaise Bachaye ( 15 Tarikey )
- Ek Mobile Me 3 Whatsapp Kaise Chalaye
- Whatsapp Par Stylish Aur Colourful Text Massage Kaise Likhe
- Facebook Account Block Kyun Hota Hai ( 20 Kaaran )
Aasha karta hu aap ache se jaan gaye honge ki Airtel, Jio, Idea, Vodafone, Bsnl, Tata Docomo, Reliance, Telenor, Aircel, aur Videocon Sim Number kaise nikala jata hai. Aapko agar ye post pasand aaya ho to aap niche diye gaye social media share button par click kar ke post ko share kar sakte hai.
thanks for sharing this information have shared this link with others keep posting such information..
Sar,aapane bahut achhi janakari diyi hai.muze apana sim number pata nahi tha.thanks
Sim number pata karane ka
Koi app ho to bata dena plz.
I have to thank you for the efforts you’ve put in penning this website.
I really hope to check out the same high-grade content by you later on as
well. In truth, your creative writing abilities has encouraged me to get my very own blog now 😉
Excellent article. I definitely appreciate this site. Stick with it!
It’s hard to come by well-informed people about this subject, but you seem like you know
what you’re talking about! Thanks