India Me Help par pahle hi bataya gaya hai ki old Post Revisions ko delete kaise kiya jata hai. Aaj ke is post me ye bataya gaya hai ki wordpress post me “Table Of Contents” kaise add kare.
Aapne kai blog website ke post me Table Of Contents feature add dekha hoga. Iski madad se user ko long post read ( पढ़ने ) me bahut hi asani hoti hai. Sath me google search engine me post ki search engine visibility bhi badh jati hai.
Aaj ke is post me ye bataya gaya hai ki Table Of Contents kya hota hai. Aur blog ke post aur pages me ise kyun add karna chahiye. WordPress blog me Theme Install Upload karne ke 3 tarike pahle hi bataya ja chuka hai.
- WordPress Blog Me Cloudflare HTTPS Setup Kaise Kare
- Label Category Delete Kaise Kare WordPress Blog Me
विषय-सूची
Table Of Contents Kya Hai?
Simple word me bola jaye to Table Of Contents post ka structured overview hota hai, TOC ek form ki tarah dikhta hai. Aur ye post, page, jp_pay_product or jp_pay_order etc जगहों पर show hota hai. Isme post me istemal kiye gaye sabhi Headings or Subheadings ek link ke roop me ek jagah par add ho jata hai aur TOC फॉर्म me show hota hai.
Table of contents ( TOC ) ki madad se post me diye gaye headings or subheadings H2, H3, H4, H5, H6 sabhi headings ko ek jagah par show kiya ja sakta hai. Jisse post पढ़ rahe user ko बड़े se बड़ा post पढ़ने me bahut hi asani hoti hai.
User ko post ke important section tak pahuchne me koi pareshani nahi hoti. Toc ki madad se user apne pasand ke section me बस ek click me pahunch sakta hai. Aur post me diye gaye images, videos, or text ko dekh or read kar sakta hai.
- Permalink Setting Kaise Kare WordPress Blog Me
- WordPress Blog Ka Full Backup Cpanel Account Se Kaise Le
Post Pages Me TOC Add Karne Ke Fayde
Agar aap apne post me ise add karne ke bare me soch rahe hai, to usse pahle iske fayde ke bare me bhi aapko jaan lena chahiye. Ise add karne ke मुख्यत 4 fayde hai.
- User ko post read karte samay post ke important section me pahuchne me asani hoti hai. User Toc ke andar show ho rahe link par click kar ke post ke kisi bhi important section me bahut hi asani se pahuch sakta hai.
- Google Search result me jump links show hota hai.
- Site ki search engine visibility increase hoti hai.
- Search result me jump link show hone or search engine visibility badhne ke karan blog par kuch℅ traffic badh jata hai.
Blog Post Me Table Of Contents Add Karne Ke Tarike
WordPress blog me koi bhi new feature add karne ke liye coding ya plugin ka sahara liya jata hai. Post or pages me Table of Contents add karne ke bhi 2 tarike hai.
- Agar aapko coding ki achi jankari hai to aap coding kar ke blog post or pages me Table Of Contents add kar sakte hai.
- Plugin ki madad se. WordPress par aise bahut se plugin hai jiski madad se aap post or pages me Table Of Contents show kar sakte hai.
Is post me plugin ke jariye TOC add karne ka tarika bataya gaya hai. Ye tarika asan to hai hi sath me isme aapko baar baar setting nahi karna hota. Isme aapko sirf ek baar setting karna hota hai. Plugin me ek baar setting karne ke baad aapke blog post or pages me automatically table of contents show hone lagta hai. To bina deri kiye aayiye iske bare me jante hai.
- WordPress Blog Me Youtube Subscribe Button Kaise Add Kare
- DMCA Protection Blog Website Me Kaise Add Kare
Post Me Table Of Contents Kaise Add Kare
Post or pages me TOC add karna behad hi saral hai. Is post me Table Of Contents Plus Plugin ke jariye TOC add karne ka tarika bataya gaya hai.
STEP 1
Sabse pahle aap Table Of Contents Plus Plugin ko apne blog me Install kijiye. Aur Plugin Install karne ke baad activate kar lijiye.
Ab aapko plugin me setting karni hai jo niche bataya gaya hai.
STEP 2
( 1 ) Settings >>>> TOC+ par Click kijiye.
( 2 ) Auto Insert For The Following Content Types me Post Select kijiye.
( 3 ) Show Hierarchy me box ko Untick kijiye.
( 4 ) Number List Items me box ko Tick kijiye.
( 5 ) Smooth Scroll box ko Untick kijiye.
( 6 ) Update Options par Click kijiye.
Aap jaise hi update options par click karenge aapke blog par publish sabhi post jisme 4 ya 4 se adhik heading ya subheadings ka istemaal kiya gaya hoga un sabhi post me table of contents show hone lagega. yahan par aapko batata chalu ki aapke blog par new publish post me bhi TOC automatic show hoga.
Aap chahe to aap apne blog ke jarurat ke anusar bhi is plugin me setting kar sakte hai aur TOC show kar sakte hai.
इसे भी पढ़ें
- Blog Website Mobile Friendly Hai Ya Nahi Kaise Check Kare
- Blog Website Ki Broken Link Check & Remove Kaise Kare
- WordPress Blog Me Google Analytics Code Kaise Add Kare
- Mobile Se Blogging Karne Wale Blogger Ke Liye Top 22 Android Apps
Aasha hai india me help par publish ye post aapko acha laga hoga. Aur aapne sikh liya hoga ki post me Table Of Contents kaise add kiya jata hai. Aap wordpress se related dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai – WordPress.
Very good informission sir new blogger ko aapki post se bahut fayda hoga.