Voter I’d Card Mei Name Address Change Kaise Kare

Voter i’d card mei name address change kaise kare. Kya aapke voter id card ( matdata pahchan patra ) me kuch gadbad hai? Kahne ka matlab aapne jo apna voter card banwa rakha hai usme kuch change ( badlav ) chahte hai? Jaise ki Name, Surname, Father/Mother/Husband name, Date Of Birthday, Address etc. Agar haan to aisa karna bahut hi aasaan hai.

Aap ye kaam ghar baithe online kar sakte hai. Is post me isi ke baare me step by step aur vistaar se bataya gaya hai. Aap is post ko last tak dekhen aur jane ki aisa kaise kiya jata hai.

Voter i'd Card mei Name address change kaise kare ki hindi jankari

Aap sab ko pata hi hoga ki voter card banane ke liye kitna mehnat karna hota hai. Ise banwane ke liye khasha mehnat karna पड़ता hai. Aur bahut saare documents submit karna padta hai. Tab jakar aapka voter i’d card ban pata hai.

Kai baar sub kuch sahi sahi submit karne ke baad bhi kuch mamlon me kuch na kuch gadbad ho hi jata hai. Jaise ki name ki spelling me bhul ya father/mother/husband ki name me bhul ho jana. Agar aapke mamlon me bhi aisa hua hai, To aap is post ko last tak dekhen.

Main apni baat karu to mujhe apna voter i’d card banwane ke liye kai saal intezaar karna पड़ा. Aur kai baar apply karne ke baad mera matdata pahchan patra ban paya. Maine apply karte samay sabhi documents submit kiya. Aur sabhi form ko achhe se filap bhi kiya.

Phir jab mera voter i’d card ban kar ghar aaya tab uski middle name ki spelling bhul thi. Jaisa ki mera name kishor kumar gupta hai. To usme kishor kunar gupta likha hua tha. Maine bhi apne voter i’d me ki gayi galti ko thik karwaya. Aur sath me usme diya gaya address bhi.

Voter I’d Card Kya Hota Hai ?

Simple sabdo me bolu to ye aapka I’d proof hota hai. Jo 18 saal ke age ke logo ko jaari kiya jata hai. Jo bhartiya nagrik hote hai unhe diya jata hai. Aap bharat ( india ) ke naagrik hai, voter i’d card isi ka saboot hota hai. Jo bharat nirwachan aayog ke dwara jaari kiya jaata hai. Jo mukhya roop se nagar nigam, rajya, rastiya chunao ke wakt vote daalne ka kaam aata hai. Ye aapko dusre kaam jaise koi sim card kharidna ho, ya passport ke liye apply karna ho, ye lagbhag sabhi jagah kaam aata hai.

Voter I’d Card Mei Name Address Change Karne Ki Jarurat

  • Name, surname, father/mother/husband name ka bhul hona. Ya name ki spelling ka bhul ho jaana.
  • Aap naye ghar me shift ho gaye ho, aur apna address badalna chahte ho.
  • Date of birth date ka bhul hona.
  • Aap apna photo badalna chahte ho.

Voter I’d Card Me Badlav Karne Ke Liye Kya Kya Jaruri Hai ?

Voter i’d card mei name address change karne se pahle aapko in sab chizon ki jarurat ho sakta hai. Isliye bataye gaye documents ki ek copy apne paas rakhe. Aur bataye gaye step ko follow karen.

  1. Address Proof.
  2. Age Proof.
  3. Aadhar Card.
  4. Electricity Bill.
  5. Pan Card.
  6. Voter I’d Card.

Voter I’d Card Mei Name Address Change Kaise Kare

Step 1 :

Voter i’d card mei name address change karne ke liye aap nirvacghan aayog ki website par jayen. Aur isme aap log in kare. Log in karne ke baad nirwachan aayog ki home page open hoga.

Step 2 :

Ab aap Correction Of Entries In Electoral Roll ke option par click karen. Jab aap ispar click karenge to aapke saamne form number 8 open hoga.

correction entries in electoral roll option

Note : Aage ki step follow krane se pahle aapko batata chalu ki aage ki step follow karte samay koi bhi galat information na den. Aur na hi aisa koi document upload karen, jo fake ( nakli ) ho. Ya us document ke original hone par aapko doubt ho.

Aap jo bhi document upload ya jankari den wo 100% sahi hona chahiye. Nahi to aap par lok partinidhitava adhiniyam, 1950 ( 1950 ka 43 ) ki dhara 31 ke adhin aap par karwai ho sakti hai.

Form 8 me aapko kuch jankari deni hai. Kis jagah kya enter karna hai, niche vistaar se bataya gaya hai. Ye bahut hi asaan hai. Aap bataye gaye step ko follow kijiye.

Step 3 :

Application For Correction To Particulars Entered In Electoral Roll : Isme 2 option diye gaye hai. 1st state aur 2nd Assembly/Parliamentary Constituency.

1 State : Isme apna State select kijiye.

2 Assembly/Parliamentary Constituency : Isme apna District select karen.

electoral roll state and district option

Step 4 :

Applicant’s Details : Isme total 5 option diye gaye hai.

1 Name : Isme apna first name aur middle name enter karen.

2 Surname : Isme apna last name yaani ki apna title enter karen.

3 Part Number Of Electoral Roll : Isme apna Part number of electoral roll number enter karen.

4 Serial No of Electoral Roll : Isme apna Serial No of Electoral Roll enter kijiye.

5 Elector’s Photo Identity Card Number : Isme apna Elector’s Photo Identity Card Number enter kijiye.

voter id card applicant's details option

Agar aapko upar bataye gaye 3, 4 aur 5 number wale number enter karne ya search karne me pareshani aa rahi hai, to aap diye gaye link electoralsearch.in par click kijiye. Aur sabse pahle aap apne voter i’d card number enter kar ke apna voter information prapt karen. Aisa karne se 3, 4 aur 5 number asaani se dekh sakte hai. Aur uske baad form me enter kar sakte hai.

Step 5 :

Please Tick The Entry Which Is To Be Corrected : Is option me aap kya thik karna chahte hai, wo select kare. Udaharan ke liye mujhe name thik karna hai to maine name ke option par Tick kiya hai.

tick corrected option

Step 6 :

The Correct Particulars In Entry To Be Corrected Are As Below : Isme 2 option diye gaye hai.

1 Name : Isme aap apna new name First Name aur Middle Name enter karen.

2 Surname : Surname me aap apna Title enter karen.

correct name enter option

Step 7 :

Upload Supporting Document (Supported formats .jpg, .png, .bmp, .jpeg.

Isme total 6 option diya gaya hai.

1 My Photograph : My Photograph me aap apna ek Photo upload kijiye. Yaad rahe aisa photo upload kare jiska background white ho aur photo pura clean ho.

2 Age Proof : Age Proof me apna Ek Document upload kijiye. Diye gaye document me koi bhi ek document ki ek copy upload kijiye. Pan Card, Birth Certificate, Indian Passport, Driving Licence, 10th Certificate, Aadhar Card.

3 Address Proof : Address Proof me apna Ek Document upload kijiye. Isme se koi bhi ek document upload karen. Indian passport, driving licence, bank passbook, ration card, water bill, gas connection bill, telephone bill, rent agreement, income tax assessment order, post/letter/mail/delivered through indian postal department.

4 Email ID : Email ID me apna Email I’d dalen. Agar aapke paas email id na ho, to ise aise hi khali ( empty ) rahne den.

5 Mobile Number : Mobile number me apna Mobile Number enter karen.

6 Place : Place me apna Sthan ka name likhe.

7 Date : Isme Date enter karen.

8 : Ab last me sabhi detail ko achhe se check karne ke baad Submit button par click karen. Ab aapka kaam ho chuka hai or aapko kuch aur karne ki jarurat nahi hai. Agli screen me aapko ek reference code number milega. Aap us code ki madad se ghar baithe online apne application ka status check kar sakte hai.

upload document option

Request Submit Karne Ke Baad Voter I’d Card Kahan Milega?

Correction thik hone ke baad aapka voter i’d card 2 tarikon se aayega. Agar aapne form submit karte samay delivery option me courier select kiya hoga to aapka voter i’d card courier ke dwara aapke address par aayega. Aur agar aapne delivery option me dusra koi aur option select kiya hoga to aapka i’d card aapke area ke Sub Collector Office, Tahsil office ya aapne jahan par voter i’d card ke liye apply kiya tha wahan par prapt kar sakte hai.

Upar me bataye gaye address par aapka voter i’d card na milne par aap 1950 helpline number par call kar ke aur jyada jankari paa sakte hai.

Upar me voter i’d card mei name address change karne ka tarika bahut hi saral tarike se bataya. Aasha karta hu aapko post pasand aaya hoga. Aur agar is post se related koi pareshani aa rahi hai to niche diye gaye comment box me comment kar ke jarur bataye.

About India Me Help 264 Articles
यह वेबसाइट indiamehelp.com लोगो की सहायता करने के लिए बनाया गया है। इस वेबसाइट का मकसद ज्यादा से ज्यादा लोगो की हेल्प करना है। अगर आपका कोई सवाल या जवाब है तो आप + Whatsapp नंबर पर मैसेज और admin@indiamehelp.com पर ईमेल कर सकते है।

8 Comments

  1. Mai marraied hu to voter id me father’s name ke jagah husband name kaise change kare . Please reply

    • jyoti jee voter i’d card me father name ki jagah husband name change karna bahut hi aasaan hai…aap post me bataye gaye step 5 me type of relation select kare.. step 6 me apne husband ka name or surname enter kare aur phir step 7 me aap apna marriage se jude document yaani ki marriage certificate upload kare…

    • आप अपने नजदीक के तहसील आफिस या आप जिस स्कूल या प्लेस में वोटर id कार्ड के लिए अप्लाई किया था आप वहां जाकर पता कर सकते है । आप बताये गए जगह से ले तो सबसे अच्छा होगा, क्योंकि वहां पर आप अपना ओरिजिनल वोटर id कार्ड पाएंगे ।

  2. Mo ghara odisha re kintu mu tamilnadu re rahuchhi kan ethi voters I’d correction karihebki?jodi hue tahahele download kemiti karibi

    • haan correction karihaba….. but aapna voter i’d card download kariparibeni card correction apply kariba pare aapnakara voter i’d card tahshill office ki ba aapna jouthi i’d card pain apply karithile seithi paibe…..

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*