Website theme detector. Agar aapke mann me ye sawal hai ki kisi bhi website ke theme ko detect kaise kare. ( Website Theme Ka Pata Kaise Lagaye ) to aap bilkul sahi post or website par hai. Aaj ke is post me meine bahut hi saral tarike se aur step by step bataya hai ki kisi dusre ka blog website ke theme ka pata kaise lagaya jata hai.
Internet par lakhon karodon blog website maujood hai. Hum jab bhi koi blog ya website visit karte hai, or uska theme hame pasand aata hai, to hum sochte hai ki ispar kaun sa theme istemal ho raha hai. Aur istemaal ho raha theme free hai ya paid. Is tarah ke sawal hamare mann me aate hi rahte hai.

- Blogspot Blog Me Favicon Icon Kaise Add Kare.
- Kya Buy Kiye Gaye Domain Name Ko Edit Kiya Ja Sakta Hai.
Kisi Dusre Blog Website Ka Theme Pata Karne Ki Jarurat Kab Hota Hai
Agar aap ek blog owner hai. Aur apne blog par naye naye theme try karte rahte hai, to aise me aapko ye jarur pata hona chahiye ki kisi bhi blog theme ka pata lagane ka tarika kya hai. Agar aap apne blog me DMCA Protection add karna chahte hai, to aap post ko read kar sakte hai.
Jab meine blogging start kiya tha, tab mein bhi apne blog par naye naye theme jise ( template ) bhi kaha jata hai, try karte rahta tha. Mein jab bhi koi blog visit karta, aur mujhe us blog ka theme achha lagta, tab mein us blog ke owner ko uske social media sites or uske email address par use email kar ke puchta tha ki aap kaun sa theme Istemal karte ho.
Kai baar to aisa hota tha ki kisi kisi ka reply tak nahi aata tha. Phir mujhe bahut nirasha hoti thi. Kyunki us blog me istemal ho raha theme kisi dusre website se download kar ke ya buy kar ke mein apne blog par lagana chahta tha. Par us blog owner ka reply na aane ki wajah se mein aisa nahi kar pata tha.
- Godaddy Cpanel Account Ka Password Kaise Change Kare.
- Best Earning Ads Size In Hindi Blog Par Kis Size Ka Ads Lagana Chahiye.
Blogger Platform Par Bane Blog Theme Ka Pata Kaise Lagaye
Blogspot aur wordpress platform par bane blog theme ko detect karne ka tarika alag alag hai. Blogspot par bane blog theme ka pata lagana bahut hi aasaan hai. Iske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Agar aap Blogger.com par bane blog theme ka pata lagane ka tarika janna chahte hai, to aap mere bataye gaye step ko follow kar sakte hai.
STEP 1 :
1 : Jis blogger blog theme ko detect karna chahte hai, use apne Chrome Browser me open kare.
STEP 2 :
Is step me aapko blog ke source code se pata lagana hai, jo html code hota hai.
1 : Apne computer ke mouse ko Right Click kare. Or phir View Page Source par click kare.
2 : Ab aap apne computer ke keyboard me Ctrl or F button ko ek sath dabaye. Aisa karne se ek search box open hoga.
3 : Search Box me blogger template style likhe. Or keyboard me Enter button dabaye.
Ab aapne blogger theme detect kar liya hai. Aapke samne us blog ka Theme Name, Author, or Licence etc show hoga.
WordPress Platform Par Bane Blog Theme Ka Pata Kaise Lagaye – Website theme detector
WordPress blog theme ka pata lagana bahut hi aasaan hai. Iske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Aap mere bataye gaye step ko follow kar sakte hai. Theme ka pata kaise lagaye iske liye internet par kai website maujood hai. Niche meine kuch website ka link diya hai, aap chahe to niche diye gaye website ka sahara le sakte hai.
1 : Scan Wp.
2 : What Theme ?.
3 : Wp Theme Detector.
4 : The Seo Tools.
NOTE : Kuch blog/website owner’s apne blog theme ko customize kar ke ya apne blog par compress theme istemaal karte hai. Isliye kuch mamlon me website theme detector website bhi aise customize theme ko detect nahi kar paati.
Sath me aapko batata chalu ki upar me diye gaye kuch website ki madad se aap site me istemaal ho rahe kuch plugins ka bhi pata laga sakte hai.
Aasha karta hun aap achhe se jaan gaye honge ki website theme detector ki madad se kisi dusre blog website par use ho rahe theme ka pata kaise lagaya jata hai. ( Blog Theme Detect Kaise Kare ). Agar aapko mera ye post achha laga ho, to aap is post ko dusre blogger’s ke sath share kar sakte hai. Aur is post se sambandhit koi sawal ya sujhao hai, to aap niche diye gaye comment box me comment kar ke bata sakte hai. Aap blogging se jude dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai – Blogging.
Nice Post about with a proper guide. Best information! Thanks for sharing the wonderful article.
Good information sir
ye post muje kafi chhi lagi. thanks for sharing post
aese hi post likhte rahiye
Mobile me kaise pata kare
SIR Same process hai, aap post me bataye gaye step follow kare…..
Blogger ke liye >>
aapko bahut se websites mil jaayegi jinke dwara aap kisi bhi web page ka source code pata kar sakte hain. aur usme aap Template name Find kar sakte hain.
WordPress ke liye to same hi hain. jaisa ki Kishor bhai ne bataya hai.
nice post sir
accha hai mujhe pata chal gaya ki kon sa template use karata hai
Nice Information Bhai …
Thanks for Sharing thisarticle …..