Whatsapp Par Bold Italic Strikethrough Aur Monospace Text Kaise Likhe

Jyadatar android smartphone user’s apne phone me Whatsapp istemal karte hai. Aur ek dusre ko text messages share karte hai. Par inme se kai logo ko whatsapp par text ko Bold, Italic, Strikethrough aur monospace kaise kare iske bare me pata nahi hota.

Kya Aapko pata hai aap whatsapp text message ka format ( प्रारूप ) set kar sakte hai. Jee haan ye sach hai. Aap whatsapp message ko bold, italic, aur strikethrough kar sakte hai. Iske liye aapko third party app ki jarurat nahi hai. Text ko bold, italic, aur strikethrough karne ka feature whatsapp par pahle se maujood hai.

whatsapp par bold italic strikethrough monospace text kaise likhe

India Me help par pahle hi bataya gaya hai ki whatsapp par Stylish Aur Colourful text message kaise send kiya jata hai. Aur sath me whatsapp par Blue Text Message kaise send kiya jata hai. Whatsapp par text message ka format ( प्रारूप ) set karna bahut hi asan hai. Aayiye jante hai whatsapp ke iss tips and tricks ke bare me.

Whatsapp Par Bold Italic Strikethrough Or Monospace Text Kaise Likhe

Blog Post, Email aur dusre kai platform par text ko bold, italic, strikethrough aur monospace bahut hi asani se kiya jata hai. Thik waise hi whatsapp par text ko bold, italic, strikethrough aur monospace kiya ja sakta hai. Iske liye aapko jyada kuch nahi karna hai. Aap niche bataye gaye step ko follow kare.

Whatsapp Par Text Ko Bold Kaise Kare

Example ke liye agar aapka text IndiaMeHelp hai. Aur aap isko Bold karna chahte hai, to aapko aisa likhna hoga *IndiaMeHelp*. Text ke aage aur piche Asterisk (*) likh dene se aapka text kuch iss tarah ka dikhega – IndiaMeHelp.

Whatsapp Par Text Ko Italic Kaise Kare

Text ko italic karna bahut hi saral hai. Iske liye aapko apne text ke aage aur piche Italicize ( _ _  ) add karna hai.

Example : Agar aapka word Kishor Kumar Gupta hai to aapko aisa likhna hai. _Kishor Kumar Gupta_ Aisa likhne ke baad aapka word aisa ho jayega. Kishor Kumar Gupta.

Whatsapp Par Strikethrough Text Kaise Type Kare

Message text ko Strikethrough karna bahut hi asaan hai. Jaisa upar me bataya gaya hai thik isme bhi aapko waisa hi 2 Tilde ( ~ ~ ) add karna hai. Example ke liye agar aapka text Gupta Jee hai to aapko ~Gupta Jee~ likhna hai. Aisa likhne se aapka text kuch iss tarah ka dikhega – Gupta Jee.

Whatsapp Par Monospace Text Kaise Type Kare

Text ko monospace karna bahut hi saral hai. Iske liye aapko text ke aage piche 3 Backticks likhna hai. Example agar aapka word computer hai to aapko “`computer“` aisa likhna hai. Bataye gaye word ki tarah likhne se text iss tarah ka dikhega – monospace.

Bold Italic Ek Sath Istemal Kare

Agar aap in dono प्रारूप ko ek sath use karna chahte hai to aap ye kaam bhi bahut hi asani se kar sakte hai. Iske liye aap dono ko ek sath use kare. Example agar aapka text word Kishor hai to aap *_Kishor_* likhe. Aisa likhne se aapka text kuch is tarah ka dikhega – Kishor

Ummid hai india me help par publish ye post Whatsapp Par Bold, Italic Strikethrough aur Monospace text kaise likhe post aapko acha laga hoga. Agar aap whatsapp aap ke jariye paise kaise kamaye ye janna chahte hai to aap yahan click kar sakte hai – Yahan Click Kare.

About India Me Help 264 Articles
यह वेबसाइट indiamehelp.com लोगो की सहायता करने के लिए बनाया गया है। इस वेबसाइट का मकसद ज्यादा से ज्यादा लोगो की हेल्प करना है। अगर आपका कोई सवाल या जवाब है तो आप + Whatsapp नंबर पर मैसेज और admin@indiamehelp.com पर ईमेल कर सकते है।

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*