Whatsapp Group Se Kaise Nikle / Exit Kare

Whatsapp ko agar achhe se use kiya jaye to whatsapp hame apno ke sath jude rahne me madad karta hai. Par kai log ispar bematlab ke whatsapp group bana kar usme add kar dete hai. Aur usme photos, videos, voice message etc uss group me send karte rahte hai. Isliye kai log bematlab ke whatsapp group me rahna bilkul bhi pasand nahi karte. Aur us group se nikal jana hi uchit samajhte hai. Iss post me whatsapp group se kaise nikle/left kare iske bare me bataya gaya hai.

Whatsapp par bane ek group me kai logo ke sath jude rahne aur ek dusre ke sath photos, videos aur text messages send karne ki suvidha milti hai. Par kai log bina puche aur bina permission liye hi koi bhi useless group me add kar dete hai. Purane whatsapp user aise whatsapp group se asani se left kar jate hai. Par kai new user whatsapp group se bahar nahi nikal pate. Kyunki unko iske bare me pata hi nahi hota ki group se kaise nikla jata hai.

whatsapp group se kaise nikle

Iss post me whatsapp group se exit kaise kare iske bare me bataya gaya hai. Jiski madad se aap sirf 1 minute me kisi bhi whatsapp group se left kar sakte hai. Main pahle hi bata chuka hu ki whatsapp par Stylish Text Message kaise likha jata hai. Aur whatsapp Group Delete kaise kiya jata hai, iske bare me bhi bata chuka hu.

Whatsapp Group Se Kaise Nikle / Left Kare Ki Jankari

Whatsapp group se bahar nikalne ke liye sabse pahle us uss group ko Open kare.

Ab aap upar right side me diye gaye 3 Dots par click kare.

whatsapp menu option

Group Info par click kare.

whatsapp group info

Group info par click karte hi group me jitne bhi members add hai wo sabki list aapke same aa jayega. Aap scroll down kar ke niche jaye. Niche me aapko exit group ka option milega. Aap Exit Group par click kare. Aur phir Exit option par click kare.

exit group option

Group se left/exit karne ke baad aapko us group se kisi tarah ka messages nahi aayega. Sath hi aap usme kisi tarah ka messages send nahi kar payenge. Lekin abhi bhi wo group aapke whatsapp account me show hoga. Aap us whatsapp group ko puri tarah se delete karne ke liye niche bataya gaya step follow kare.

Aap last me Delete Group par click kare. Ek window open hogi jisme delete ka option hoga. Aap delete media from my phone ko Tick kar de. Aur last me Delete ke option par click kar de.

delete whatsapp group

Ise Bhi Read Kare

Upar me whatsapp group se kaise nikle iske bare me bataya gaya hai. Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to aap iss post ko niche diye gaye share button par click kar ke post ko share kar sakte hai. Aap whatsapp se related dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai – Whatsapp.

About India Me Help 264 Articles
यह वेबसाइट indiamehelp.com लोगो की सहायता करने के लिए बनाया गया है। इस वेबसाइट का मकसद ज्यादा से ज्यादा लोगो की हेल्प करना है। अगर आपका कोई सवाल या जवाब है तो आप + Whatsapp नंबर पर मैसेज और admin@indiamehelp.com पर ईमेल कर सकते है।

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*