Whatsapp Hack Hone Se Kaise Bachaye ( 15 Tarike )

Aaj ka ye post anty hacking ke upar hai. Agar aapko dar laga rahta hai ki kahin aapka whatsapp hack na ho jaye, to aap is post ko last tak dekhe. Is post me whatsapp ko hack hone se bachane ke tips bataya gaya hai.

Jaisa ki aapko maaloom hoga ki smartphone me whatsapp istemaal hone wala ek pramukh application hai. Lagbhag 95% logo ke smartphone me ye app istemal hota hai. Aur log apne friends aur family ke sath iss app ke jariye ek dusre ko Text Chat, Image, Audio, Video aur Gif ek dusre ko send karte rahte hai.

whatsapp hack hone se kaise roke

Par yahan par aapko batata chalu ki internet ke is duniya me internet par kuch bhi safe nahi hai. Yahan tak ki whatsapp app bhi. Aap jara si chuk karenge aur aapka phone aur whatsapp dono hack ho sakta hai. Isliye jaahir si baat hai ki aap apne whatsapp ko jitna secure rakhenge aapke liye utna hi achha hoga.

Bahut se hackers whatsapp ko hack karne ki kosish karte rahte hai. Aur sabse insucure whatsapp ka web version hota hai. Hacker isi version par kosish kar ke kai logo ke whatsapp hack kar chuke hai.

The Best Tips, Whatsapp Ki Security Badhane ke liye

Jaisa ki mein upar me bata chuka hu ki whatsapp ka web version sabse insucure hota hai. Isliye jahan tak ho iss version ka istemal karte samay savdhani barte. Aur aap jab bhi kisi anjaan computer, laptop ya pc par ise open kare, to wahan par istemal karne ke baad log out karna na bhule.

Whatsapp Ko Hack Hone Se Roke

Messages ko End To End Encryption suraksha milne aur whatsapp app me Two-step Verification ki security milne ke baad ise hack karna bahut hi kathin hai. Par phir bhi aap security ko jitna badha sakte hai utna badhaye. Meine niche me kuch security tips bataya hai, jo aap follow kar sakte hai.

  1. Whatsapp ko trusted website ya google ke Play Store se downlaod kare.
  2. Two-step Verification ko active rakhe.
  3. Security option me diye gaye Show Security Notification ko on rakhe.
  4. App me hamesha lock laga kar rakhe.
  5. Apne smartphone me pattern lock ya password lock ka istemaal kare.
  6. Unknown logo ko apna mobile na de.
  7. whatsapp web ko istemaal karne ke baad log out karna na bhule.
  8. App ka update version istemal kare.
  9. Unjaan logo ko block kar de.
  10. Auto file download option ko disable rakhe.
  11. Unknown file ko download na kare.
  12. Spam link, unknown link par click na kare.
  13. Unknown logo dwara send kiya gaya image, gif, audio ya video ko download na kare.
  14. Aise link par click na kare, jo unknown logo dwara send kiya gaya ho.
  15. Original whatsapp application hi istemaal kare.

Aasha karta hu aap jaan gaye honge ki whatsapp ko hack hone se bachane ka tarika kya hai. Agar aapke mann me is post se related koi sawal ya sujhao hai, to aap comment box me comment kar ke bata sakte hai. Aap whatsapp se jude dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai. Whatsapp.

About India Me Help 264 Articles
यह वेबसाइट indiamehelp.com लोगो की सहायता करने के लिए बनाया गया है। इस वेबसाइट का मकसद ज्यादा से ज्यादा लोगो की हेल्प करना है। अगर आपका कोई सवाल या जवाब है तो आप + Whatsapp नंबर पर मैसेज और admin@indiamehelp.com पर ईमेल कर सकते है।

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*