Whatsapp Par Blue Color Me Kaise Likhe/Send Kare

Log apne whatsapp text messages ko Stylish Aur Colourful banana chahte hai. Par jyadatar log aisa nahi kar paate. Kyunki whatsapp par aisa koi feature nahi diya gaya hai. India me help par iske bare me pahle hi bataya ja chuka hai. Aaj ke is post me hum ye janengen ki whatsapp message ko Blue Color me kaise likhe aur send kare.

Aapne kabhi notice kiya hoga ki kabhi kabhi whatsapp par bane kisi group se aaye message ya kisi friend dwara send kiya gaya text message ka color blue hota hai. Par aisa kaise hota hai ? Aaj ke is post me इसी ke bare me bataya gaya hai ki whatsapp par Blue Color me text message kaise type kare.

whatsapp par blue color me kaise likhe

Aisa karna bahut hi asan hai. Iske liye aapko third party app ki jarurat hogi. Aap post me bataye gaye app ki madad se whatsapp par kisi ko bhi blue color me message likh kar send kar payenge. Aur apne friend, family aur apne parichit ko आश्चर्यचकित kar payenge.

Whatsapp Par Blur Color Message Kaise Send Kare

Text ko Bold Italic aur Strike karne ka feature whatsapp par pahle se uplabdh hai. Par text ko stylish blue color karne ka feature whatsapp par uplabdh nahi hai. Par aap third party app ki madad se aisa kar sakte hai. Is post me 2 android app ka name bataya gaya hai.

Messages ko Blue color me likhne ke liye aapko android app ki jarurat hogi, jo google ke play store par free me uplabdh hai. Niche 2 app ka name bataya gaya hai. Sath me link bhi diya gaya hai. Aap chahe to dono me se koi bhi ek app download kar sakte hai.

BlueWords – Text Styles App Se Whatsapp Par Blue Color Text Send Kare

1 : Sabse pahle aap BlueWords – Text styles app ko apne smartphone me Download kar ke Install kar lijiye.

bluewords text style app

2 : Ab aap app ko open kijiye. Aur Word’s Styles me Blue Color select kijiye. Write Here ke box me apna Text likiye.

3 : Text likhne ke baad upar me show ho rahe apne text par long press kar ke Copy kar lijiye. Aur aap whatsapp par jise share karna chahte hai use share kar dijiye. Aap side me so ho rahe share button par click kar ke bhi apne text ko whatsapp par share kar sakte hai.

text typing box on bluewords app

Fancy Text + Sticker Maker ( Wastickerapp) App Ki Madad Se Blue Text Send Kare

1 : App ko apne smartphone me Download kar ke Install kijiye.

fancy text +

2 : Download kiye gaye app ko Open kare. Aur Fancy Text select kijiye.

fancy text

3 : Typing box me apna text Type kijiye. Aur niche Blue Color ke text ko select kijiye.

blue color text message

5 : Ab aap show ho rahe text par long press kar ke text ko Copy kar lijiye, Aur Whatsapp par share kijiye.

Aapko jankari ke liye batata chalu ki upar me bataye gaye tariko se aap whatsapp par apne parichit ko blue color me message likh kar send to kar hi sakte hai. Sath me aap नीले रंग ke text ko whatsapp status me bhi upyog kar sakte hai. Upar me bataye gaye app ki madad se aap stylish aur colorful text message bhi likh kar social sites aur messaging app par share kar sakte hai.

Aap chahe to blur color me likh kar ya dusra aur koi stylish font select kar ke dusre platform jaise Facebook, Twitter, Instagram or Hike par bhi send kar sakte hai. India me help par pahle hi bataya gaya hai ki 1 Mobile Me 2 Whatsapp kaise istemal kiya jata hai.

Ummid hai india me help par publish ye post whatsapp par blue color me kaise likhe post aapko acha laga hoga. Agar aap whatsapp se jude dusre post read karna chahte hai, to aap yahan par click kar sakte hai – Whatsapp.

About India Me Help 264 Articles
यह वेबसाइट indiamehelp.com लोगो की सहायता करने के लिए बनाया गया है। इस वेबसाइट का मकसद ज्यादा से ज्यादा लोगो की हेल्प करना है। अगर आपका कोई सवाल या जवाब है तो आप + Whatsapp नंबर पर मैसेज और admin@indiamehelp.com पर ईमेल कर सकते है।

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*