Agar aapko whatsapp par koi person voice ya video call kar ke, ya text message, images, ya videos send kar ke pareshan kar raha hai ? Agar aapka jawab haan me hai. Aur aap usse chutkara paana chahte hai, to aaj ka ye post aapke kaam ka ho sakta hai. Iss post me bahut hi saral tarike se bataya gaya hai ki whatsapp par kisi ko block kaise kiya jata hai.
Whatsapp number kisi unjaan person ke paas jane ke baad kai baar aisa hota hai ki wo person aapko whatsapp par voice ya video call kar ke ya text message, photo, video, animation ya koi spam link send kar ke aapko pareshan karne lagta hai. Girls ke sath aksar aisa hota hai. Agar aapke sath aisa ho raha hai, to aapko whatsapp security feature ke bare me jarur pata hona chahiye.
फोटो साभार : brunamerue : pixabay.com
Whatsapp security feature me kisi bhi number ko block aur report ka option bhi diya gaya hai. Upar me bataye gaye situation hone par aap iss feature ka labh utha sakte hai. Aur uss person ko hamesha ke liye block aur sath me report bhi kar sakte hai. Aisa karne se wo person aapko whatsapp par koi bhi chiz send nahi kar payega. Aur sath hi na hi wo aapko whatsapp par voice aur video call kar payega.
Whatsapp Par Kisi Contact Ko Block Karne Se Kya Hoga
Messaging app whatsapp par agar aap kisi ko block karte hai to wo person aapko whatsapp par kuch bhi send nahi kar payega. Sath hi wo aapko whatsapp par voice ya video call bhi nahi kar payega. Aur na hi aap use kuch send kar payege. Mein pahle hi bata chuka hu ki whatsapp par Stylish Text Message kaise type kiya jata hai.
Agar aap use kuch send karna chahenge to uske liye aapko use sabse pahle unblock karna hoga. tab jakar aap use kuch send kar payenge. Yahan par aapko bata du kisi person ko whatsapp par block karne se wo person aapka whatsapp Profile Image bhi nahi dekh payega.
Whatsapp Par Kisi Ko Block Karne Ka Tarika
Whatsapp par friend, family ya anjaan person ko block karne ka tarika bahut hi asaan hai. Iss post me 2 tarika bataya gaya hai. Ye dono tarika bahut hi asaan hai. Aapko jo tarika sabse achha aur asaan lage aap use follow kar sakte hai.
TARIKA NUMBER 1
1 : Apna whatsapp app open kare. Aur uss Number ko open kare jise aap block karna chahte hai.
2 : Ab aap upar me diye gaye 3 Dots par click kare.
3 :More par click kare.
4 :Block par click kare.
1 : Whatsapp app open kare. Aur upar me diye gaye Menu ( 3 dots ) par click kare.
2 : Ab aap Settings >>>> Account >>>> Privacy par click kare.
3 : Messaging me diye gaye Blocked Contacts: par click kare.
4 : Right side me diye gaye + icon par click kare.
5 : Aapke samne sabhi contacts open hoga. Aap jis contact ko block karna chahte hai aap uspar Click kar de.
Ek se adhik number block karne ke liye upar me diye gaye + icon par phir se click kar ke aap koi aur contact ko bhi block kar sakte hai. Iss process ko follow kar ke aap jitna chahe utna contacts block kar sakte hai. Whatsapp Account aur whatsapp group Delete karne ka tarika mein pahle hi bata chuka hu.
Aapko mera ye post whatsapp par kisi number ko block kaise kare post kaisa laga nichey comment box me comment kar ke bata sakte hai. Aap whatsapp se related dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai. Whatsapp.
यह वेबसाइट indiamehelp.com लोगो की सहायता करने के लिए बनाया गया है। इस वेबसाइट का मकसद ज्यादा से ज्यादा लोगो की हेल्प करना है।
अगर आपका कोई सवाल या जवाब है तो आप +919090062359 Whatsapp नंबर पर मैसेज और [email protected] पर ईमेल कर सकते है।
Agar aapke wordpress blog ka loading speed slow hai, to aap apne blog par Cloudflare CDN setup kar ke aur phir uske baad blog par cloudflare flexible https enable kar ke apne blog ki loading READ MORE….
Agar aapka blog wordpress par hai. Aur aap apne wordpress blog ka full backup lena chahte hai, to aap sahi post aur website par hai. Aaj ke is post me bahut hi saral tarike se READ MORE….
Blog banane ke baad aur uspar koi post publish karne se pahle sabse pahla kaam hota hai ki uski sabhi setting achhe se ki jaye. Aur blog ki security mazboot ki jaye. Taki koi hacker READ MORE….
Be the first to comment