Agar aapka blog wordpress par hai. Aur aap apne wordpress blog ka full backup lena chahte hai, to aap sahi post aur website par hai. Aaj ke is post me bahut hi saral tarike se bina plugin ki madad liye wp blog ka backup lene ka tarika bataya gaya hai.

Kyunki wordpress ek software hai. Aur ye hosting account par install ho kar run karta hai. Isliye ye kahan nahi ja sakta ki kab aapke wordpress blog me kya problem aa jaye.
Agar aapka blog wordpress par hai, to aap uska complete backup jarur create kar ke rakhe. Kya pata kab ye data aapke kaam aa jaye. Mein pahle hi bata chuka hu ki wordpress blog me Permalink Setup kaise kiya jata hai.
WordPress Blog Ka Backup Lene Ki Jarurat
Aap ek blog owner hai, to aapko pata hi hoga ki blog ka ye data rakhna kitna jaruri hota hai. Agar aapke paas backup data nahi hoga. Aur aapka blog hack ho jata hai. Ya blog me koi setting karte samay problem aa jati hai, to aise me aapka wordpress blog kabhi bhi lost ho sakta hai.
Beginner apne wordpress blog me kuch na kuch galti kar hi dete hai. Jisse unka wordpress blog down ho jata hai. Starting me meine bhi kuch galti kiya tha.
Agar aap chahte hai ki aapke dwara kiya gaya mehnat, aapke blog par kiya gaya work aapke hath se na jaye, to mein to yahi kahunga ki aap apne blog ka backup samay samay par create karte rahe.
Aur samay aane par isi data se apne blog ka sabhi chizen jaise Posts, Photos, Comments, Plugins, Themes etc data ko ek sath restore bhi kar sakte hai.
- WordPress Blog Me Live Chat Widget Kaise Add Kare
- Label Category Delete Kaise Kare WordPress Blog Me
Blog Backup Data Download Karne Ke Fayde
Internet par maujood lagbhag sabhi chizen 100% surakshit nahi hai. Kya pata aapka blog archanak se down ho jaye. Ya aapke kisi galti ki wajah se aapke blog par maujood Posts, Pages, ya koi Multimedia File delete ho jaye.
Aapne hacking name jarur suna hoga. Kabhi kabhi hackers log kisi kisi ka blog hack bhi kar lete hai. Aur sath me blog ko hack kar ke blog ka databases ko delete bhi kar dete hai. Isliye regular apne blog ka complete backup lete rahna chahiye.
Aane wale samay me aapke blog ke sath kya hoga ye kaha nahi ja sakta. Isliye jahan tak ho apne wp blog ka complete backup data ko download kar ke apne paas jarur rakhna chahiye.
Agar aapke paas blog ka full backup data rahega, to aapke blog ke sath upar me bataye gaye situation ho jane ke baad issi backup data se apne blog ko phir se restore kar sakte hai. Yaani ki dobara se aap apne blog ko usi condition me la sakte hai.
Ye ek bahut hi achha vikalp hai apne blog ko loss hone se bachane ke liye. Isliye kam se kam daily nahi to weekly apne blog ka backup jarur le. Aur jarurat पड़ने par apne blog ko dobara ussi condition me laye. jaise aapka blog pahle tha.
WordPress Blog Ka Backup Cpanel Account Se Kaise Le
Waise to kai tarike hai backup create karne ka. Example plugin ki madad se. Aur hosting account ke cpanel se. Is post me hosting account se backup lene ka tarika bataya gaya hai. Niche meine step by step bataya hai. Aap bataye gaye step ko follow kare.
STEP 1
1 : Sabse pahle aap apne cpanel account me Log In kar le.
2 : Ab aap files me diye gaye option Backup Wizard par click kare.
3 : Backup option par click kare.
STEP 2
Yahan par 2 option diya gaya hai. 1st Full Backup aur 2nd Select Partial Backup. Isme Home Directort, mySQL Databeses aur Email Forwarders & Filters ka option diya gaya hai, jo aapko ek ek kar ke in sabhi ko download karna hai.
1 : Home Directory par click kar ke download kare. Ise download karne me kuch minutes ka samay lag sakta hai. Ye aapke internet connection ke speed par nirbhar karta hai.
2 : mySQL Databeses ko download kare.
3 : Email Forwarders & Filters ke option par click kar ke ise bhi download kare.
NOTE : Apne blog ka databases ko download karne ke liye upar me bataye gaye step follow kare. Full Backup ke option ka upyog na kare. Ye option tab upyog kare jab aap apna hosting account/company change kar rahe ho.
Ab aapne apna kaam successfully kar liya hai. Aur ab aapko kuck aur karne ki jarurat nahi hai. Aapne apna blog ka sabhi databases ko download kar liya hai. Isme blog Posts, Pages, Multimedia, Plugings, Emails, etc data hoga. Aap jab chahe tab aap iss download kiye gaye data ki madad se apne blog me kuch kharabi aane par apne wordpress blog ko restore kar sakte hai.
Agar aapka is post se sambandhit koi sawal ya sujhau hai, to aap niche comment box me comment kar ke bata sakte hai. Aur agar aap blogspot blog ka backup lena chahte hai to yahan click kare. Click Here.
- WordPress Blog Me Favicon Icon Add Karne Ke 3 Tarike
- All Devices Se WordPress Blog Ko Remotely Log Out Kaise Kare
Aasha karta hu aapko mera ye post wordpress blog ka backup kaise le post aapko pasand aaya hoga. Aur aapne apna kaam successfully kar liya hoga. Aap wordpress se jude dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai. WordPress.
Sir mere blog ki home directory ka backup 22 gb ka hai. Jabki website full backup 2.5 gb ka mujhe samjh nhi aa rha hai ki. Website ka home directory ka partial backup 22gb ka kyon hai. Ise kaise kam karu.
Sir jaisa ki aap bata rahe hai ki aapke website ka full backup 2.5 gb ka hai, to aise me home directory ka backup 22 gb ka kaise ho sakta hai….. ho sakta hai ki aap apni hosting ke full space yaani ki memory ko apni website ka file samajh rahe ho aap ache se check kare.
bahut achhi aur kaam ki jaankari di hai aapne…mai ye poochhna chah raha tha ki itna karne ke baad humen kisi aur cheez ki bhi jaroorat hoti hai ya fir hum bilkul safe ho jaate hain. kya aisa karne se website ka complete back up hamare paas aa jayega.
Agar aap apna hosting account change karna chahte hai to uske liye ek aur tarike se website ka backup/download karna hoga…..aur agar aap apna hosting account nahi badlana chahte to post me bataye gaye tarikon se backup lijiye….
Great article.|