WordPress Blog Me Google Analytics Code Kaise Add Kare

Wp blog me google analytics code kaise add kare. Blog website par aane wale traffic ki details janne ke liye google analytics bahut hi achha vikalp hai. Iski madad se site owner apne site par hone wale lagbhag sabhi activity ko dekh aur jaan sakte hai.

Daily, weekly ya monthly site par total kitna page view hua. Total kitne logo ne aapke site ko visit kiya. Aur kin kin jaghon se visitor’s aapke site par aaye. Or kya kya search kar ke visitor’s ne aapke site ko visit kiya. In sab ki jankari aap google analytics code apne site par add kar ke aap prapt kar sakte hai.wordpress blog me google analytics code kaise add kare

Blog website owner ke liye ye janna bahut hi jaruri hota hai ki unke visitor’s unke site par kya activity kar rahe hai. Waise wordPress par site activity dekhne ke liye aap plugin ki sahayata le sakte hai. Jaise Jetpack by WordPress.com, Crazy Egg, MixPanel etc.

Par inme se kuch plugin free hote hai, to kuch paid. Agar aap bilkul free me apne site par hone wale activity ko trace karna chahte hai, to aap google analytics par free me account create kar ke or tracking code site me add kar ke site par visitor’s dwara hone wale activity ko dekh sakte hai. Iske liye aapko ek bhi paise kharch nahi karna hoga.

Google analytics google ka hi product hai, jo bilkul free hai. Adhikansh blog website owner’s blog website par hone wale moment aur apne visitor’s ki har moment ko dekhne ke liye google analytics ka sahara lete hai. Aaj ke is post me wordpress blog me google analytics code kaise add kiya jata hai, iske bare me jankari di gayi hai.

Google Analytics Me Kya Kya Dekh Sakte Hai.

Simple sabdo me bolu to aap google analytics ki madad se aap apne blog website par visitor’s dwara hone wali ek ek moment ko dekh sakte hai. Aap iski madad se kya kya dekh sakte hai, niche bataya gaya hai.

  1. Real time site par total kitna visitor’s hai wo dekh sakte hai.
  2. 1 din, 1 week, 1 month aur ek saal me total kitna visitor’s aapke blog website ko visit kiya wo dekh sakte hai.
  3. Blog website ka bounce rate dekh sakte hai.
  4. Apne visitor ki location dekh sakte hai.
  5. Visitor aapke site par kya search kar ke aaya wo jaan sakte hai.
  6. Aapka visitor blog website par kahan se aaya, social site se ya kisi dusre website se ya direct search engine se wo pata kar sakte hai.
  7. Kis country se kitna traffic aa raha hai, wo jaan sakte hai.
  8. Aapke visitor’s kis device me aapke site ko jyada visit karte hai, wo pata kar sakte hai.
  9. Visitor aapke site par kitna der rahta hai wo dekh sakte hai.
  10. Aapka visitor kaun sa post ya page dekh raha hai wo dekh sakte hai.
  11. Kaun se browser me blog website ko visit kiya hai, wo pata kar sakte hai.

Aur bhi aise kai jankari hai jo aap iski madad se aasani se dekh sakte hai.

WordPress Blog Me Google Analytics Code Add Karne Ke Fayde

Jaisa ki kisi chiz ko karne aur usme safalta paane ke liye uske bare me achhe se janna aur samajhana jaruri hota hai. Thik waise hi google analytics aapke site visitor’s aur aapke site ko samajhne me madad karega.

Aapke visitor’s aapke blog website par kis topic, post, ya page ko sabse jyada pasand kar rahe hai. Aur aapke visitor’s aapke site par kya chahte hai, ye sab baaten aap google analytics se aasaani se jaan sakte hai.

Aur agar aap apne visitor’s ko ek baar samajh gaye, aur unke manpasand topic ya yun kahen ki post publish karne lage, to aapka site ek din jarur successful hoga. Mujhe lagta hai ki ab aap achhe se samajh gaye honge ki ise blog par add kar se kya fayda hoga.

Google Analytics Account Kaise Banaye.

Analytics par new account banana bahut hi aasaan hai. Agar aap apne blog website ke liye account create karna chahte hai, to aap yahan click kare – click here.

WordPress Blog Me Google Analytics Tracking Code Kaise Add Kare.

Wp blog me analytics code add karna bahut hi aasaan hai. Agar aap bina kisi plugin ki madad se ise add karna chahte hai, to aap niche bataye gaye step ko follow kar sakte hai.

NOTE : Aage ki step follow karne se pahle aap apne blog theme code ka backup le le. Uske baad hi aage ki step follow kare. Kyunki aage ki step me aapko google analytics code ko apne blog theme code me add karna hai.

1 : Sabse pahle Analytics.google.com par jaye. Aur apna Tracking Code copy kare. Iske liye aap Home >>>> Admin >>>> Tracking Info >>>> Tracking Code par click kare.

2 : Ab aap WordPress Dashboard me jaye.

3 : Appearance >>>> Editor par click kare.

4 : Theme footer ( footer.php ) par click kare. Aur theme code me </body> code search kare.

5 : Ab aap </body> ke thik pahle analytics tracking code ko paste kar de. Aur last me Update File par click kare.add analytics tracking code in blog

Mera hamesha kosish rahta hai ki aap logo ko achhe se help karu. Aur har pahlu ko aapke samne rakhu. Aaj ke is post me meine yahi kosish kiya hai. Ummid karta hun aapko mera ye post pasand aaya hoga.

Agar aapko ye post wordpress blog me google analytics code kaise add kare post achha laga ho, to aap is post ko dusre blogger ke sath share kar sakte hai. Aap wordpress se sambandhit dusre post read karne ke liye yahan click kar sakte hai – WordPress.

About India Me Help 262 Articles
यह वेबसाइट indiamehelp.com लोगो की सहायता करने के लिए बनाया गया है। इस वेबसाइट का मकसद ज्यादा से ज्यादा लोगो की हेल्प करना है। अगर आपका कोई सवाल या जवाब है तो आप + Whatsapp नंबर पर मैसेज और admin@indiamehelp.com पर ईमेल कर सकते है।

8 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*