WordPress Theme Install Karne Ke 3 Tarike ( Wp Theme Installation )

New blogger jo apna blog wordpress par install karte hai. Unhe wordpress ke bare me utna jyada jankari nahi hota. Kyunki new blogger wordpress par bilkul new hote hai. Isliye starting me wp ke bare me utna jyada jankari wo nahi rakhte. Unke liye blog design, blog theme, aur theme installation ki jankari bahut hi important hota hai. Aaj ke is post me main wordpress theme install karne ke 3 tarike bata raha hun. Aap is post ko last tak read kare. Aur jaane ki wordpress theme install kaise kiya jaata hai.

Mujhe dusre platform ke mukable wordpress blogging karne ke liye sabse achha aur asaan platform lagta hai. Aisa main isliye bol raha hun ki wordpress par aap ek kaam ko bahut se tariko se kar sakte hai. example ke liye is post ko hi le lijiye. Aaj ke is post me ek single theme ko 3 alag alag tariko se install/upload karne ka tarika bata raha hun.wordpress theme install kaise kare

WordPress Theme Install/Upload Karne Ke 3 Tarike Aapko Kyun Pata Hona Chahiye

Ab aap ye soch rahe honge ki theme install karne ke liye ek tarika hi kaafi hai. Jo hame wordpress ke dashboard me mil jaata hai. Agar aap aisa soch rahe hai to aap bilkul galat hai. Agar aapko blogging me ek naya mukaam banana hai. To aapko blogging ke har us kaam me expert hona chahiye jisse related aap kaam karte hai. Aur mera to yahi manna hai ki har din kuch naya sikhte rahna chahiye.

Maine jab apna blog wordpress par install kiya to starting me maine kuch dino tak free theme ka istemaal kiya. Kuch dino ke baad mujhe Ehsas hua ki mujhe paid ( premium ) theme istemal karna chahiye. Aur maine ek paid theme jo lagbhag lagbhag RS 4000 rupaye ki thi maine buy kar liya.

Aur jab maine buy kiye gaye theme ko apne wordpress dashboard me jakar theme ko upload kar ke install karna chaha. To main wordpress dashboard me jakar theme ko install ( upload ) nahi kar paya. Kyunki wordpress dashboard me jakar theme ko upload karne par upload nahi hua.

Kyunki mere theme ka size bada tha. Isliye theme wahan par upload nahi hua. Isliye mera to yahi manna hai ki wordpress theme install karne ke jitne bhi tarike hai aapko sikh lena chahiye. Pata nahi aapko kis time kis tarike ki jarurat पड़ jaye.

Aapne gaur kiya hoga ki jab aapne apna blog wordpress par install kiya tha, To default me twenty sixteen theme install aur activate hoga. Par sayad hi koi blogger is default theme ko istemal karta hai. Kaaran hota hai twenty sixteen se bhi achha aur good looking theme free me bahut se mil jate hai.

Agar aap apna manpasand theme apne blog par lagana chahte hai. Aur kisi wajah se aap apne blog par nahi laga paa rahe hai. To maine is post me wordpress theme install karne ke 3 tarike bataya hun. aapko jo tarika sabse achha aur aasaan lage, Aap wo tarika apna sakte hai.

Bahut se new blogger ke mann me ye sawal rahta hai ki kaun sa theme achha hota hai  ? free ya paid ( premium ). Aaj ke is post me meine iske bare me bhi bataya hai. Aap apne blog par koi bhi theme  lagane se pahle ye jaan le ki aapke liye kaun sa theme best hoga.

Free Theme Aur Paid Theme Me Kya Different Hota Hai

WordPress par hajaro theme free me uplabdh hai. Aap bina ek paisa kharch kiye apne blog par istemal kar sakte hai. Iske liye aapko ek bhi paisa kharch nahi karna पड़ेगा. Sirf wordpress hi nahi balki aap google par search kar ke dusre website se free wala theme download kar ke apne blog par istemal kar sakte hai.

Lekin yahan par aapko batata chalu ki google par search kar ke kisi unknown website se download kiya gaya free wala theme apne blog par istemal karna khatre se khali nahi hai. Agar aap paid theme buy kar sakte hai. To aap apne blog par paid theme ka hi istemal kare.

Sath hi aapko batata chalu ki free wale theme lagbhag lagbhag sabhi theme advertisement ke liye ya yun kahenn ki promotion ke liye hota hai. Aur isme aapko wo sabhi features nahi milte jo aapko paid theme me milta hai.

Paid theme wo hota hai jise aapko paise dekar buy karna hota hai. Uske baad aapko theme download karne ka ek link diya jata hai. Aap us link se premium theme ko download kar ke apne blog par istemal kar sakte hai. Isme aapko wo sabhi features milte hai jo free wale theme me nahi diya hota.

Blog Par Theme Lagane Se Pahle Kya Kare.

Naye blogger kisi dusre website se theme download kar ke sidha apne blog par upload kar dete hai. Upload karne se pahle apne theme/blog ka backup tak nahi lete. Aisa karna thik nahi hai. New theme upload karne se pahle blog/theme ka backup jarur le lena chahiye.

Maan lijiye aapke dwara upload kiya gaya new theme me koi gadbadi ho. Ya wo theme aapke blog par thik se work nahi kar raha ho. ya aapke blog ke design ko kharab kar raha ho. Ya aapko wo theme pasand na aaye. Theme upload kar ke active karne se blog ke kai features aur functions change ho sakta hai. Aur sath hi sidebar widgets ka configuration puri tarah se badal sakta hai.Isliye aage ki step follow karne se pahle backup jarur le le.

WordPress Theme Install ( Upload ) Karne Ke 3 Tarike

WordPress blog me theme install karne ka ye sabse aasan tarika hai. Jo niche bataya gaya hai. Adhikansh blogger yahi tarika apnate hai. Kyunki ye option aapke blog ke dashboard me hi mil jata hai. Aap niche bataye gaye step ko follow kare.

WordPress Dashboard Repository Se Search Kar Ke Apne Manpasand Theme Ko Install Kare.

Tarika Number 1

1 : Sabse pahle aap apne wordpress dashboard me jaye.

2 : Ab aap appearance >>>> themes aur phir add new theme par click kare.add new theme

3 : Ab aap apne manpasand theme ka name wahan par diye gaye search box me type kare. Theme mil jaane ke baad use install kar le. Aur last me use active kar le.install theme

Tarika Number 2

Cpanel Ke Jariye Theme Upload Kaise Kare

Jaisa ki maine upar me sabse aasan tarika bataya. Upar me bataye gaye tarike ke baad wordpress blog me theme install karne ka ye sabse aasan tarika hai. Aap chahe jis company ka hosting istemal kar rahe ho. Lagbhag sabhi hosting company ka cpanel lagbhag ek jaisa hi hota hai. Example ke liye maine godaddy cpanel ka step bataya hai. Aap mere bataye gaye step ko follow kar sakte hai.

1 : Sabse pahle aap apne cpanel account me user name or password de kar login kar le.

2 : Ab aap file manager par click kare.file manager option

3 : Ab aap public_html >>>>> wp-content aur phir theme folder par click kare. Ab wahan par upload ka option dikh raha hoga. Aap upload ke option par click kare.upload new theme on cpanel

4 : Ek pop up windows open hoga. Usme select file ka option diya gaya hai. Aap select file ke option par click kare. Aur apne computer ya smartphone jisme bhi aap apna cpanel account open kar rakha hai. Download kiye gaye theme ke zip file ko select kare.theme upload complete show

5 : Is step me aapko theme file ko extract karna hai. Aap upload kiye gaye file ko select kare. Aur apne computer ke mouse ko right click kar ke ya upar me diye gaye option extract par click kar ke theme file ko extract kar le.extract theme file

6 : Cpanel ka kaam khatam ho chuka hai. Ab aap apne wordpress dashboard me jaye. Aur aapke dwara upload kiya gaya theme ko activate kar le. Active karne ke baad wordpress blog me wordpress theme install karne ka kaam khatam ho chuka hai. Aur aapko kuch aur karne ki jarurat nahi hogi.

Tarika Number 3 :

WordPress Dashboard Ke Jariye Theme Upload Kaise Kare

Upar me bataye gaye tarike ke baad sabse aasan tarika yahi hai. Par isme ek problem hai. Jyada bada size ka theme upload karne par kabhi kabhi big size ka problem show hota hai. Ye tarika lite size theme upload karne ke liye hai.

1 :Sabse pahle apne wordpress dashboard me jaye.

2 : Ab aap appearance >>>> themes >>>> add new par click kare.add new theme

3 : Upload theme >>>> choose file par click kare. Aur apne computer ya smartphone se .zip file ko select kare jise aap blog par lagana chahte hai. Aur install now ke button par click kare.choose file on your computer

4 : Install karne ke baad last step me upload kiye gaye theme ko activate kar le.

Mera hamesha yahi kosish rahta hai ki jitna ho sake saral tarike se aur step by step batau. Aaj ke is post me maine yahi kosis kiya hai. Aasha karta hu aapko mera ye post wordpress theme install ( upload ) karne ke 3 tarike aapne sikh liya hoga. Aur wordpress blog me theme upload kaise kare aap jaan gaye honge. Aur agar is post se related koi sawal ya sujhao hai to aap niche diye gaye comment box me comment kar ke bata sakte hai.

About India Me Help 264 Articles
यह वेबसाइट indiamehelp.com लोगो की सहायता करने के लिए बनाया गया है। इस वेबसाइट का मकसद ज्यादा से ज्यादा लोगो की हेल्प करना है। अगर आपका कोई सवाल या जवाब है तो आप + Whatsapp नंबर पर मैसेज और admin@indiamehelp.com पर ईमेल कर सकते है।

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*